Jumuatul Wada'a Ki Sharai Hesiyat ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Jumatul Wida'a Ki Kya Sharai Haisiyat He ? Kuchh Log Kahte He Isse Door Rahna Chahiye Iski Shariyat Me Koi Hesiyat Nahi Ye Bid'at He? Or Jumatul Wida'a Ke Khutbe Me Alwida'a Ay Maahe Ramzan Wagairah Padhna Kesa ? Rahenumai Farmaye


*🌹JAWAB:-🌹*

Jumua Tul Wida'a Ramzan Mahina Ke Aakhri Jumuah Ko Kahte Iski Fazilat Aysi Hi  He Jaise Ramzan Ke Dusre Jumuah Ke Din He, Is Din Ki Koi Alag Se Fazilat Ya Martaba Nahi Aai He. Or Alwida'a Iska Naam Is Liye Padh Gaya Ki Rukhsat Ka Muaamla He. Isme Koi Harj Nahi Ki Isko Jumuatul Wida'a Kahe. Lekin Iski Koi Alag Fazilat Ya Martaba Ya Ahemiyat Samjhna Be Ilmi He.


Ham Ahle Sunnat Jumua Tul Wada Ko Yaani Ramzan Ke Aakhri Jumuah Ke Khutbe Me "Alwida'a Ay Sharur Ramzan" Wagairah Alfaz Istemao Karne Ko Farz, Wajib Ya Sunnat Nahi Mante Magar Ye Mubah He Aur Har Mubah Niyyat E Hasan Se Mustahab Ho Jata He, Lihaza Isko Bida'at E Sayyiah Kehna Wahabiyo Ka Tariqa He, Hamara Nahi.


Hadees Sharif Me He,

انما الاعمال بالنيات

Beshak Aamal Ka Madar Niyyato Par He. Niyyat Hasan He Aur Wo Kaam Islam Ke Muzahim Nahi To Wo Apni Zaat Me Accha He, Aur Mustahab Ke Darje Me He,

Al Batta Isko Farz O Wajib Ya Sunnat Samjh Kar Amal Karna Bilkul Galat He. Ye Mubah He Aur Niyyat E Hasan Ke Sabab Mustahab.


Jaisa Ki Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Fatmate Hai,


Alwida'a Jis Tarah Raaij He Huzure Aqdas ﷺ Se Sabit Nahi. Na Sahaba E Kiram W Mujtahideene Izaam Radiallahu Anhum Se Na Iska Maujud Ma'aloom. Vo Apni Had Zaat Me Mubah He Har Mubah Niyyate Hasan Se Mustahab Ho Jata He Or Aurooz W Awaariz Khilaf Se Makrooh Se Haram Tak.


Jumuah Ke Liye Khutba Shart He Khas Khutbatul Wida'a Koi Cheez Nahi Unke Tark Se Namaz Par Kuchh Asar Nahi Pad Sakta Iske Tark Me Kuchh Khalal Nahi, Na Taarik Par Na Zajroo Malamat Rawa Jabki Tark Bar Bina E Wahabiyat Na Ho, Haañ Agar Wahabiyat He To Wahabi Ke Pichhe Namaz Beshal Najaaiz Mahaz Batil Or Vo Zajro Malamat Se Bhi Sakht Tarka Mustahiq He.

*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-8, S-448, Mas'ala-1372-1376)*


Or Farmate Hai,

Alwida'a Ke Raaij He Na Koi Sharai Hukm He Na Usse Mana'a E Sharai, Haañ Aulma Iska Iltezam Na Kareñ, Kabhi Tark Bhi Kareñ Ki Awam Wajib Na Samajhne Lage Or Sachchi Alwida'a Qalb Se He Ki Ramzan Shareef Ke Aane Se Khush Ho Or Jane Se Gamgin, Or Ye Halat Ho Ki Aana Baar Tha Or Jane Ke Liye Ghariyañ Gineñ To Vo Jhuthi Alwida'a He.

*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-8, S-450, Mas'ala-1381)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*

*📬Raza Darul Ifta Khambhat Gujarat*

*🗓️7 May 2021, 24 Ramzanul Mubarak 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts