Dudh Bakhshwana Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Hazrat Dhoodh Baksh Wane Ke Sharai Hukm Kya Hai.


REHNUMAI FARMAEA


*🌹JAWAB:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Dudh Bakhshwana Shar'an Be Asl Cheez He Iski Qataee Koi Hajat Nahi Ki Maañ Par Ye Bachche Ka Haq He Ki Vo Bachche Ko Dudh Pilaye To Maañ Ne Apna Haq Ada Kiya Na Ke Bachche Ke Zimme Qarz Ka Bujh Lada He.


Haañ Maañ Ke Ahsanaat Awlad Par Kaseer Hai Unse Awlad Maañ Ki Bahut Kuchh Khidmat Karke Bhi Sabakdosh Nahi Ho Sakti.


Balki Walidain Ki Ita'at Or Unke Sath Husne Sulook Ta Umr Har Shakhs Par Lazim He, Jahañ Tak Ho Sake Har Shakhs Apne Walidain Ki Khushnoodi Hasil Kare, Is Liye Ki Rab Ki Raza Walidain Ki Raza Me He.


Hadees Shareef Me He,

رضا الرب فی رضا الوالدین

*📚(At-Targeeb WatTarheeb, J-3, S-221)*

Yaani Rab Ki Raza Walidain Ki Raza Me He.

*📚(Markaze Tarbiyat Ifta, J-2, S-396)*


Isi Tarah Ziya E Shariyat Me He,


Huzur Bahrul Uloom Alaihir Rahmato Ridwan Farmate Hai,

Shariyat Me Dudh Pilane Wali Ka Dudh Pine Wale Par Koi Mutalba Nahi Is Liye Dudh Bakhshwana Koi Sharai Hukm Nahi Iske Alawa Bhi Awlad Par Maañ Ke Be Shumar Huqooq Hai Inteqal Ke Baad Huqooq Ki Adayegi Ki Yahi Soorat He Ki Unke Haq Me Dua E Khair Or Unke Liye Isale Sawab Kare.

*📚(Fatawa Bahrul Uloom, J-2, S-79)*


Or Maañ Ke Dudh Bakhshwane Ko Zaroori Samjhna Jahilana Khayal He Kyuñ Ki Apne Bachchoñ Ko Dudh Pilana Maañ Ka Haq He To Maayeñ Dudh Pila Kar Apna Haq Ada Karti Hai Na Ye Ki Bachchoñ Par Qarz Ka Bojh Dalti He.


Albatta Bachcho Par Ye Unka Ahsan He Ki Jis Ki Wajah Se Allah Ne Unka Martaba Bahut Uncha Kar Diya He, Or Awlad Ko Bhi Husne Sulook Ka Hukm Diya He.

*📚(Mahnama Kanzul Iman Dehli, Safha-18, March-2015)*

*📚(Ba-Hawala: Ziya E Shariyat, J-1, S-199)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓6 May 2021, 23 Ramzanul Mubarak 1442*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts