Maloom Na Ho Ki Samne Wala Zakat Ka Mustahiq He Ki Nahi Use Zakat Dena Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Hazrat MERI Khala Garib Hai Apni Beti Ki Shadi Karna Chahti Hai Unhone Mujhse Zakat Fitra Ki Raqam Mangi Hai Mujhe Iska Ilm Nahi Ke Wo Zakaat Ki Mustahiq Hai Ya Nahi To Kya Unhe De Sakte Hai.

Rehnumai Farmaea


*🌹JAWAB:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Agar Aapki Khala Ka Zahiri Haal Garibo Faqeer Jesa He Or Aap Taharri Kare Soche Goro Fiqr Kare Ki Haañ Ye Sahibe Nisab Nahiñ Honge Ye Faqeer He Jin Ko Zakat Di Ja Sakti He To Ye Taharri Karke Ki Haañ Ye Garib Hi He Ya Faqeer Hi He Uske Baad Aap Zakat De, Khuda-na-khwasta Agar Vo Mustahiqe Zakat Nahi Bhi Hoñge Tab Bhi Shar'an Aapki Zakat Ada Ho Jayegi.


Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He,

Jisne Taharri Ki Yaani Socha Or Dilme Ye Baat Jami Ki Isko Zakat De Sakte Hai Or Zakat Dedi Baad Me Zahir Huva Ki Vo Masroofe Zakat He Ya Kuchh Haal Na Khula To Ada Ho Gai Or Baad Me Maloom Huva Ki Vo Gani Tha Uske Walidain Me Koi Tha Ya Apni Awlad Thi Ya Shohar Tha Ya Zaujah Thi Ya Hashmi Ya Hashmi Ka Gulam Tha Ya Zimmi Tha, Jab Bhi Ada Ho Gai Or Agar Ye Maloom Huva Ki Uska Gulam Tha Ya Harbi Tha To Ada Na Hui. Ab Phir De Or Ye Bhi Taharri Hi Ke Huk Me He Ki Usne Sawal Kiya, Usne Use Gani Na Jaan Kar De Diya Ya Vo Faqeeroñ Ki Jama'at Me Unhiñ Ki Waz'a Me Tha Use De Diya.

*📚(Bahare Shariyat, H-5, Maale Zakat Kin Logoñ Par Sarf Kiya Jaye, Mas'ala-47)*


Agar Be Soche Samjhe Dedi Yaani Ye Khayal Bhi Na Aaya Ki Use De Sakte Hai Ya Nahi Or Baad Me Maloom Huva Ki Use Nahi De Sakte The To Ada Na Hui, Warna Ho Gai. Or Agar Dete Waqt Shak Tha Or Taharri Na Ki Ya Ki Magar Kisi Taraf Dil Na Jama Ya Taharri Ki Or Galib Guman Ye Huva Ki Ye Zakat Ka Masraf Nahi Or De Diya To In Sab Soortoñ Me Ada Na Hui Magar Jabke Dene Ke Baad Ye Zahir Huva Ki Waqaee Vo Masroofe Zakat Tha To Ho Gai.

*📚(Bahare Shariyat, H-5, Maale Zakat Kin Logoñ Par Sarf Kiya Jaye, Mas'ala-48)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*

*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🗓️10 May 2021, 27 Ramzanul Mubarak 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Qurbani Ke Liye Afzal Din Konsa He?

 *Qurbani Ke Liye Afzal Din Konsa He?* *🌹SAWAL:-🌹* Hazrat Ki Bargah Me Swal Hai Ki Qurbani Kis Din Krana Zyada Afzal Aur Bhtr Hai

Popular Posts