Zawal Ka Waqt Kab Se Kab Tak Rahta He ? Usme Namaz Padhna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalamualaikum.. Hazart

Zawal Ka Time Kab Se Kab Tak Rahta Hai Hazart..?


Aur Zawal Ka Time Kitna Der Tak Rahta Hai Hazart...?


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Zawal Ka Waqt Use Kahte He Ki Mumaneat Ka Waqt Khatm Hota He Yaani Makrooh Waqt Khatm Hua Or Jawaz Ka Waqt Shuru Hua. Awam Me Ye Mash'hoor Ki Vo Zawal Ke Waqt Ko Makrooh Waqt Samajhte Halañki Aysa Nahi He, Duphar Me Jo Makrooh Waqt Hota He Use Zahwe Kubra Ya Nisfunnahare Sharai Kahte He. Is Waqt Ke Andar Namaz Padhni Makrooh Or Tilawat Karna Mana'a He. Or Ye Waqt Ke Khatam Hote Hi Zawal Ka Waqt Shuru Hota He, Or Jaise Hi Zawal Shuru Ho Jaye Ab Zawal Ke Waqt Me Ibadat Karne Ki Ijazat He.


Makrooh Waqt Kitna Hota He Isko Samjhne Ke Liye Aasan Misal Samjhye Ki Din Ki Do Qism Hoti He Ek Hota He Sharai Din Or Ek Hota He Urfi Din, To Sharai Din Ki Shuruaat Jab Shahri Ka Waqt Khatm Hota He Tabse Hoti He. Or Sooraj Dubne Tak Ye Waqt Rahta He. Or Urfi Din Sooraj Nikalne Se Sooraj Dubne Tak Rahta He.

Dono Ka Khatm Sooraj Dubne Par Hi Hota He Lekin Shuruaat Ka Waqt Alag Alag He.


Yaad Rakhe Hamesha Saheri Or Sooraj Nikalne Ka Waqt Ek Nahi Rahta Vo Mausam Or Jagah Ke Aitbar Se Tabdil Hota He. Isko Janne Ke Liye Kai Jagah Par Takweem Hoti He Use Dekh Kar Aap Pata Kar Sakte He. 


Aasani Se Samjhne Ke Liye Ek Misal Ke Taur Par Sharai Din Ki Shuruaat Yaani Khatme Saheri Ya Subhe Sadiq Ka Waqt 5 Baje He. Or Sooraj Dubne Ka Waqt 7 Baje He. Yaani Kul 14 Ghante Ka Din Hua. Ab Iska Aadha Kare. To Aadha Hua 7 To Ab Ye Ghante Kab Khatm Hoge To Ye 5+7= 12 Baje Duphar Ko. (Ye Nisfunnahare Sharai Ka Waqt Hua)


Isi Tarah Maan Lijye Urfi Din (Yaani Nisfunnahare Urfi Ya Tulu E Aaftab) Ki Shuruaat Yaani Sooraj Nikalne Ka Waqt 6:20 Baje He Or Sooraj Dubne Ka Waqt 7 Baje To Kul Waqt 12:40 Ghante Huve. Ab Iska Aadha Kare To 6:20 Gante Huve. Ab Shuru Waqt (Suraj Nikalne Ke Waqt) Me Ye Waqt Milayege. Yaani 6:20+6:20 =12:40 Baje (Ye Nisfunnahare Urfi Ka Waqt Hua). 


Jahañ Se Sharai Din Ka Aadha Hua Yaani 12 Baje Or Jahañ Urfi Din Ka Aadha Hua Yaani 12:40 Minutes In Dono Ke Bich Ke Waqt Ko Makrooh Waqt Kahte He Yaani Dono Ke Bich Jo 40 Minutes Ka Waqt He Vo Waqte Makrooh He. Jab Ye Waqt Khatm Ho Jaye To Zawal Ka Waqt Shuru Hota He Or Ibadat Ka Waqt Shuru Hota He. Lihaza Zawal Ke Waqt Ko Waqte Makrooh Kahna Durust Nahi.


Jaisa Ki Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Fatmate Hai,

Zawal To Suraj Dhalne Ko Kahte He, Ye Vo Waqt He Ki Mumaneat Ka Waqt Nikal Gaya Or Jawaz Ka Waqt Aa Gaya, To Waqte Mumaneat Ko Zawal Kahna Sareeh Musamahat He.

*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-5, S-126, Mas'ala-270)*


Nisfunnahare Sharai Ko Zahwe Kubra Bhi Kahte He, Or Nisfunnahare Urfi Ko Istawa E Haqiqi Bhi Kahte He. In Dono Ke Bich Ka Jise Makrooh Waqt Kahte He Vo Kam Se Kam 39 Minutes Or Zyada Se Zyada 47 Minutes Hota He.


Jaisa Ki Fatawa Razviya Me He,

Zahwe Kubra Se Kar Nisfunnahare Tak Namaz Makrooh He, Ye Waqt Hamare Bilad Me (Shahro Me) Kam Se Kam 39 Yor Zyada Se Zyada 47 Minutes Hota He. 

*📚(Fatawa Razviya, J-2, S-345)*

Mazeed Jaankari Ke Liye *📚(Momin Ki Namaz, Namaze Zuhar Ka Bayan)* Me Dekhe...

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓️10 May 2021, 27 Ramzanul Mubarak 1442*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Qurbani Ke Liye Afzal Din Konsa He?

 *Qurbani Ke Liye Afzal Din Konsa He?* *🌹SAWAL:-🌹* Hazrat Ki Bargah Me Swal Hai Ki Qurbani Kis Din Krana Zyada Afzal Aur Bhtr Hai

Popular Posts