*🌹SAWAL:-🌹*
Masla Pesh Khidmat Hai Jawab Inayat Farmayen Nawazish Hogi
Zaid Apni Bivi Ke Sath Raat Me Hambistar Huwa Subah Aakhir Waqt Me Jagaa To Pahle Sehri Kiya Fir Gusl Karne Baitha Gusl Shuru Hi Kiya Tha Ki Aazan Hone Lagi. To Kiya Uska Roza Mana Gaya Ya Nahi
*🌹JAWAB:-🌹*
Uska Roza Ho Gaya Janabat Ki Wajah Se Roze Par Kuchh Asar Nahi Padega, Kyuñ Ki Vo Raat Me Hambistar Hua Tha Na Ki Subah Sadiq Ke Waqt Ya Baad Me, Lihaza Uska Roza Ho Jayega.
Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He,
Janabat Ki Halat Me Subah Ki Balki Agarche Saare Din Junub Raha Roza Na Gaya Magar Itni Der Tak Qasdan Gusl Na Karna Ki Namaz Qaza Ho Jaye Gunah W Haram He. Hadees Me Farmaya: Ki Junub Jis Ghar Me Hota He, Us Me Rahmat Ke Farishte Nahiñ Aate.
*📚(Bahare Shariyat, H-5, Un Cheezoñ Ka Bahan Jinse Roza Nahi Jata, Mas'ala-15)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*
*📬Raza Darul Ifta Khambhat Gujarat*
*🗓️5 May 2021, 22 Ramzanul Mubarak 1442*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment