*🌹SAWAL:-🌹*
Assalam Alaikum, Hazrat Sawal Hai, Zakat Ki Rakam Ko Hila Sharayi Karana Kaisa Masjid Ke Liye ??
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Zakat Ki Raqam Masjid Me Lagana Shar'an Jaaiz Nahi. Magar Majboori Ki Soorat Me Baade Heela E Sharai Ke Masjid Me Lagaai Ja Sakti He.
Jaisa Ki Huzur Faqihe Millat Alaihir Rahma Taherir Famate Hai,
Zakat Ki Raqam Heela E Sharai Se Masjid Me Lagaai Ja Sakti He.
Jaisa Ki Huzur Saiyeduna Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Fazile Barailvy Alaihir Rahma Durre Mukhtar Ke Hawale Se Taherir Famate Hai,
وحیلۃ التکفین بھا التصدق علی فقیر ثم ھو یکفن فیکون الثواب بھا وکذا فی تعمیر المسجد ۔
*📚(Fatawa Razviya, J-4, S-469)*
Or Khud Saiyeduna Aala Hazrat Muhaddise Barailvy Radiallahu Anhu Taherir Fatmate Hai,
Agar Muzaki Ne Zare Zakat Use (Masroofe Zakat) Diya Or Mazoone Mutlaq Kiya Ki Isse Jis Taur Par Chaho Meri Zakat Ada Karo Usne Khud Ba Niyyate Zakat Le Liya Uske Baad Masjid Me Laga Diya To Ye Bhi Sahih W Jaaiz He.
*📚(Fatawa Razviya, J-4, S-475)*
Pas Ma'aloom Huva Ki Heela E Sharai Ke Zariya Zakat Ki Raqam Masjid Me Lagana Jaaiz He Lekin Jahañ Log Masjid Dusri Raqamoñ Se Bana Sakte Hoñ Vo Aaj Ke Murawajjeh Heela E Sharai Zakat Ki Raqam Masjid Me Na Lagayeñ Sirf Majboori Ki Soorat Me Lagayeñ Taaki Gurba'a W Masaakeen Wagairah Jo Uske Asl Masaarif Me Hai Or Zaroorat Mand Madaarise Arbiyah Ki Haq Talfee Na Ho.
*📚(Fatawa Faqihe Millat, J-1, S-325)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*6 May 2021, 23 Ramzanul Mubarak 1442*
📲+918487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment