Ruku Se Uthte Waqt Pent Ya Pajama Khinchne Se Namaz Ka Hukm ?

*🌹SAWAL:-🌹*
As Salam Alaikum, Agar Ruku Se Utthkar Sajde Me Jaate Waqt Pant Ya Pajama Kheeckar Sajde Me Jae To Sahi H Ya Galat

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Namaz Me Ruku'a Se Uth Kar Sajda Me Jaate Waqt Ek Sath Donoñ Hathoñ Se Shalwar Pent Ya Pajama Upar Ki Taraf Khinchna Ya Qamees Ka Daaman Sametna Makroohe Tahreemi Najaaizo Gunah He, Ki Ye Kaffe Soob Me Dakhil He Jis Se Hadees Shareef Me Mana'a Farmaya Gaya He Or Aysi Soorat Me Namaz Wajibul Ae'aada Yaani Dubara Padhni Wajib Hogi.

Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He,
Kapda Sametna, Maslan Sajda Me Jaate Waqt Aage Ya Pichhe Se Utha Lena Agarche Gard Se Bachane Ke Liye Kiya Ho Or Agar Bilawajah Ho To Or Zyada Makrooh He.
*📚(Bahare Shariyat, H-3, Makroohe Tahreemi Ka Bayan, S-624, Matbuaa Maktabul Madinah)*

Isi Tarah Fatawa Faizur Rasool Me He,
Kapda Sametna Jaisa Ki Nawaaqif Log Sajdah Me Jate Huye Aage Ya Pichhe Ke Kapde Ko Uthate Hai, Ye Mufside Namaz Nahiñ Balki Makroohe Tahreemi Or Najaaiz He. Jis Namaz Me Aysa Kiya Gaya, Us Namaz Ka Dubara Parhna Wajib He.
*📚(Fatawa Faizur Rasool, J-1, S-276)*

Albatta Ruku'a Se Uthne Ke Baad Ya Sajda Se Qayam Ki Taraf Aane Ke Baad Kabhi Kabhar Kapda Jism Se Chipak Jata He, Dekhne Wale Ko Karahat Mahsoos Ho Ya Jism Ke Hey'at Zahir Hoti Ho To Use Amale Qaleel Ke Zariya Chhurane Me Koi Harj Nahi Ki Ye Amal Mufeed He Or Ek Hath Se Aasani Se Ho Sakta He. Lihaza Agar Amale Qaleel Ke Zariyah Ek Hath Se Pent Ya Pajama Upar Ki Taraf Chadane Me Harj Nahi Or Agar Ek Sath Do Hath Se Kapde Samete To Namaz Makroohe Tahreemi Wajibul Ae'aada Hogi. Or Agar Dono Hatho Ka Istemal Is Tarah Kiya Ki Door Se Dekhne Wale Ko Ye Zanne Galib Ho Ki Ye Namaz Me Nahiñ He To Ye Soorat Amale Kaseer Ki Hogi Jis Ki Bina Par Namaz Hi Fasid Ho Jayegi..

Jaisa Ki Huzur Sadrushshariyah Alaihir Rahma Farmate Hai,
Har Vo Amale Qaleel Ki Musalli Ke Liye Mufeed Ho Jaaiz He Or Jo Mufeed Na Ho, Makrooh He.
*📚(Bahare Shariyat, H-3, Makroohate Tanzeehi Ka Bayan, Mas'ala-41, S-631, Maktabul Madinah)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓18 May 2021, 5 Shawwalul Mukarram 1442*
📲+918487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts