*🌹SAWAL:-🌹*
السلام عليكم و رحمة الله و بركاته
Sawal Arz Haike
Short Durood Ikhtesar Jaise صلعم , صل Waghaira Jo Likha Jata Hai, Us Ta'luq Se Imaam Jalaaluddin Suyyuoti AlaihirRahmah Ka Ek Qaul Peysh Kiya Jata Hai. Ke Aap Fermate Hain
" Jis Ne Sab Se Pahle Darod Sharif Ka Aisa Ikhtesar Kiya Us Ka Hath Kata Gaya,"
Baray Maherbani Ye Kis Kitaab Mein Hain Uska Hawal Enayat Fermaein, Aur Bhi Es Ta'luq Se Rahenumai Fermaen
Kisi Ahle Hadas Ke Batana Hai,
JazakAllahu Khaira
*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Hazrat Saiyeduna Allama Jalaluddin Suyuti Alaihir Rahma Farmate Hai, Pahla Shakhs Jisne Durood Shareef Ka Ikhtesar (Shortcut) Eejad Kiya Uska Hath Kaat Diya Gaya.
*📚(تدریب الراوی للسیوطی النوع خامس والعشرون ص 284)*
Isi Tarah Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan *📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-22, S-681, Mas'ala-241)* Par Taherir Fatmate Hai..
Or Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Fatmate Hai,
Huzur ﷺ Ke Naam Ke Sath صلعم Likhna Ye Jahalat Aaj Kal Bahut Jald Baazoñ Me Raaij He. Koi صلعم Likhta He Koi عم Koi ص, Or Ye Sab Behooda W Makrooh W Sakht Napasandida W Maujube Mahroomi Shadeed He Isse Bahut Sakht Sakht Ehteraz Chahiye Agar Tahrir Me Hazar Jagah Naame Paak Huzure Aqdas ﷺ Aaye Har Jagah Pura ﷺ Likha Jaye Hargiz Hargiz Kahiñ صلعم Wagairah Na Ho Aulma Ne Isse Sakht Mumaneat Farmai He Yahañ Tak Ki Ba'az Kitaboñ Me To Bahut Ashad Hukm Likha He.
Allama Tahtawi Hashiya Durre Mukhtar Me Farmate Hai,
ویکرہ الرمز بالصلوۃ والترضی بالکتابۃ بل یکتب ذلک کلہ بکمالہ وفی بعض المواضع من التتار خانیۃ من کتب علیہ السلام بالھمزۃ والمیم یکفر لانہ تخفیف و تخفیف الانبیاء کفربلاشک ولعلہ ان صح النقل فھو مقید بقصد والافالظاھر انہ لیس بکفر وکون لازم الکفر کفرابعد تسلیم کونہ مذھبا مختارا محلہ اذاکان اللزوم بینا نعم الاحتیاط فی الاحتزار عن الایھام و الشبھۃ .
Yaani صل اللہ علیہ وسلم Ki Jagah ص Wagairah Or رضی اللہ عنہ Ki Jagah رض Likhna Makrooh He Balki Use Kamil Taur Par Likha Padha Jaye, Tatar Khaniya Me Ba'az Jagah Par He Jis Ne Durood W Salam Hamza ( ء ) Or Meem (م) Ke Sath Likha Usne Kufr Kiya Kyuñ Ki Ye Amal Takhfeef He Or Ambiya Alahimus Salam Ki Bargah Me Ye Amal Bila Shubah Kufr He. Agar Ye Qaul Sehat Ke Sath Manqool Ho To Ye Muqeed Hoga Is Baat Ke Sath Ke Aysa Karne Wala Qasdan Aysa Kare, Warna Zahir Ye He Ki Vo Kafir Nahiñ Baaqi Luzoome Kufr Se Kufr Us Waqt Sabit Hoga Jab Use Mazhabe Mukhtar Tasleem Kiya Jaye Or Iska Mahal Vo Hota He Jahañ Luzoom Bayan Shuda Or Zahir Ho Albatta Ehtiyat Isme He Ki Ayhaam Or Shuba Se Ehteraz Kiya Jaye
*📚(۱؎ حاشیہ الطحطاوی علی الدرالمختار مقدمۃ الکتاب مطبوعہ دارالمعرفۃ بیروت ۱/ ۶)*
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-6, S-221, Mas'ala-444)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓19 May 2021, 6 Shawwalul Mukarram 1442*
📲+918487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment