Biwi Ko Khush Karne Ke Liye Shohar Ka Jhut Bolna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Kya Aadmi Apni Bivi Ko Manane Ke Liye Jhut Bol Sakta H


*🌹JAWAB:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Biwi Ko Khush Karne Ke Liye Jhuth Bolne Ki Ijazat He Maslan Khawind Biwi Se Yuñ Kahe Ki Me Tujhe Sabse Zyada Muhabbat Karta Hu, Tum Sabse Zyada Khubsurat Ho, Wagairah Wagairah... Yahañ Sirf Azdwaji Zindagi Khush'haal Ho Is Wajah Se Is Tarah Jhuth Bolne Ki Ijazat He, Ye Nahiñ Ki Biwi Se Jhuth Bol Kar Dhoka De Ya Har Muaamlaat Me Jhuth Bole..


Huzur Sadrushshariyah Alaihir Rahmato Ridwan Farmate Hai,

RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: Jhut Kahiñ Thik Nahiñ Magar 3 Jaghoñ Me, Mard Apni Aurat Ko Raazi Karne Ke Liye Baat Kare Or Ladai Me Jhut Bolna Or Logoñ Ke Darmiyan Sulah Karane Ke Liye Jhut Bolna.

*📚(Sunan Tirmizi Kitabul Birr Was Sila, Hadees-1945, J-3, S-377)*


Teen Soortoñ Me Jhut Bolna Jaaiz He Yaani Isme Gunah Nahi. 


Ek Jung Ki Soorat Me Ki Yahañ Apne Muqabil Ko Dhoka Dena Jaaiz He, Isi Tarah Jab Zaalim Zulm Karna Chahta Ho Uske Zulm Se Bachne Ke Liye Bhi Jaaiz He. 


Dusri Soorat Ye He Ki Do Musalmanoñ Me Ikhtelaf He Or Ye Un Donoñ Me Sulah Karana Chahta He, Maslan Ek Se Samne Ye Kahde Ki Vo Tumhe Achha Janta He, Tumhari Ta'arif Karta Tha Ya Usne Tumhe Salam Kahla Bheja He Or Dusre Ke Paas Bhi Isi Qism Ki Baateñ Kare Taaki Donoñ Me Adawat Kam Ho Jaye Or Sulah Ho Jaye.


Tisri Soorat Ye He Ki Bibi Ko Khush Karne Ke Liye Koi Baat Khilafe Waqe'a Kahde.

*📚(Bahare Shariyat, H-16, Jhuth Ka Bayan, Mas'ala-1)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓24 June 2021, 13 Zilqad 1442*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts