Iqamat Ke Waqt Anguthe Chumna Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Iqamat Ke Waqt Anguthe Chumna Kesa ?


*🌹JAWAB:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Iqamat Ya Azan Me Naame Aqdas ﷺ Sun Kar Anguthe Chum Kar Aankho Se Lagana Jaaiz W Mustahab He, Is Amale Hasan Ke Jawaz Par Dalaail Maujud Hai Or Agar Koi Daleel Na Bhi Ho To Mana'a Par Shara'a Se Daleel Na Hona Jawaz Ke Liye Kaafi He. Isme Koi Khilafe Shara'a Amal Nahi, Balki Huzure Aqdas ﷺ Ke Naam Ki Ta'azeem He. Or Ye Bilashubah Jaaiz He.


Imame Ahle Sunnat Mujaddide Dino Millat Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Ne Is Par Ek Mukammal Risala Taherir Farmaya Ba-naam نھج السلامۃ فی حکم تقبیل الابھامین فی الاقامۃ  Yaani "Iqamat Ke Dauran Anguthe Chumne Ke Hukm Me Umda Tafseel" .. Jiske Aakhir Me Aala Hazrat Alaihir Rahma Taherir Famate Hai Ki,


A'imma E Deen Tasreeh Farmate Hai Ki Jo Kuchh Nis Qadar Adab W Ta'azeeme Habeeb Rabbul Aalameen ﷻ Wa ﷺ Me Zyada Madakhilat Rakhe Usi Qadar Zyada Khub He, 


Fat'hul Qadeer Par Imame Itlaq W Munsalik Mutawassit W Aalamgiriya Wagairah Me He,


Jis Qadar Bhi Adab W Izzat Me Kamil Ho Itna Hi Zyada Achha He.


To Musalman Agar Bawaqte Iqamat Bhi Taqbil (Anguthe Chume) Kare Hargiz Wajhe Mumaneat Nahi, Or Shar'an Najaaiz Na Kahega Magar Vo Ki Shara'a Par Iftera Karta Ya Naam W Ikraam Saiydul Anaam Alaihi Afzalus Salato Salam Se Jalta He. Isi Tarah Namaz W Istema'e Qura'an Majeed W Istema'e Khutba Jin Me Harkat Mana'a He Or Unke Amsaal Mawaze'a Luzoom Ke Siwa Jahañ Kahiñ Bhi Ye Fe'al Banazare Ta'azeem W Muhabbat Hazrate Risalat Alaihi Afzalus Salat Wat Tas'heeha Ho Jaisa Ki Ba'az Muhibbane Sarkar Se Mash'hoor He Bahrhaal Mahboob W Mahmood He.

*📚(Fatawa Razviya, J-5)*


Mazeed Tafsil W Hawala Jaat Ke Liye Imame Ahle Sunnat Ka Risala Muta'ala Farmaye..

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓24 June 2021, 13 Zilqad 1442*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts