Father's Day Manana Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

السَّلاَمُ عَلَيْكُمْ وَرَحْمَةُ اللهِ وَبَرَكَاتُهُ

Father's Day Manana Kesa H. ???


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Father's Day Umuman June Mahina Ki Tisre Ravivar (Sunday) Ko Manaya Jata He.. Iski Ijaad Christians (Isai) Logo Ne Ki Thi.. Father's Day, Mother's Day Ya Isi Tarah Digar Din Manane Ki Koi Sharai Hesiyat Nahi. In Dino Ka Intezam W Ehtemam Gair Muslimo Ki Tahzib Se Mushabihat He.. In Dino Ke Manane Se Ehteraz Or Aysi Rasmoñ Ki Hosla Shikni Chahiye.. 


Hadees Shareef Me Huzur ﷺ Farmate He,

من تشبہ بقوم فہو منہم

Jo Kisi Qaum Se Mushabehat Paida Karega Vo Unhi Me Se Hoga.

*📚(Sunan Abu Dawood, J-2, S-203)*


Dusri Hadees Me He Huzur ﷺ Farmate He,

من کثر سواد قوم فہو منہم۔

Jo Kisi Qaum Ki Jama'at Barhaye Vo Unhi Me Se He.

*📚(Tarikhe Bagdad Tarjama Abdullah Bin Itaab, J-10, S-40)*


Or Islami Ta'alimat Ye He Ki Saal Bhar Walidain Ki Khidmat Ki Jaye Or Unke Sath Husne Sulook Se Pesh Aaye, Or Hamesha Walidain Ki Raza Hasil Kare..


Hadees Shareef Me He,

عن عبداللہ بن عمرو، عن النبي صلى الله عليه وسلم قال: " رضا الرب في رضا الوالد، وسخط الرب في سخط الوالد "۔

Abdullah Bin Umar Radiallahu Anhu Se Riwayat He Ki Nabi E Akram ﷺ Ne Farmaya: Rab Ki Raza Walid Ki Raza Me He Or Rab Ki Narazgi Walid Ki Narazgi Me He.

*📚(Sunan Tirmizi, Hadees-1900)*


Isi Tarah Ke Ek Sawal Ke Jawab Me Huzur Tajushshariya Alaihir Rahma Farmate Hai,

Mother's Day Or Father's Day Isme Kya Hota He Or Ye Kis Taur Par Manaya Jata He Me Isse Waqif Nahi Hu, Or Sawal Ke Tarz Se Maloom Ye Hota He Ki Ye Christians Ke Festival Or Unke Ye Function He Agar Ye Khas Unke Festival Ya Function He Ya Uske Andar Kuchh Aysi Baateñ Ki Jati He Jo Khilafe Shara'a He Or Khas Christianity Ki Pahechan He To Isme Mumaneat Me Shiddat He Or Isko Manane Ki Ijazat Nahi He.

http://jamiaturraza.com/session/12May09/8.mp3


Lihaza Gair Muslim Ke Ijad Kiye Huve Din Father's Day Wagairah Manane Se Ehteraz Karna Chahiye. Or Isme Koi Khilafe Shara'a Amal Ho To Iski Hargiz Ijazat Na Hogi. Albatta Islami Ta'alimat Par Amal Karte Huve Walidain Ki Hamawaqt Khidmat Karni Chahiye...

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓22 June 2021, 10 Zilqad 1442*


*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts