Jannati Sharab Or Dunyavi Sharab Me Kya Farq He

 *🌹SAWAL:-🌹*

Jannati Sharab Or Dunyavi Sharab Me Kya Farq He ?


*🌹JAWAB:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Sharab Ka Lagwi Ma'ana Shorba Ya Pine Wali Cheez Hota He, Dunyawi Sharab Badboodaar Kadwaahat Wali Or Nasha Wali Hoti He, Jiske Pine Wala Be Aql Ho Jata He, Jabki Jannati Sharab Paak W Saaf Or Pakiza Khushboo Wali Bagair Nasha Ki Hoti He.. Or Un Sab Baato Se Paak W Munazzza He.


Jaisa Ki Qura'an Shareef Me Rab Tabarak W Ta'ala Irshad Farmata He,

وَسَقَاهُمْ رَبُّهُمْ شَرَابًا طَهُورًا

Or Unheñ Unke Rabne Suthri Sharaab Pilaai.

*📚(Surah Dahar, Aayat-21)*


Is Aayat Ki Tafseer Me He,

Ya'ani Un Jannati Ke Badan Par Bareek Or Mote Resham Ke Sabz Kapde Honge Or Unheñ Chandi Ke Kangan Pahnaye Jayeñ Ge Or Unka Rab Unheñ Paakiza Sharab Pilayega Jo Ki Intehai Paak Saaf Hogi Na Use Kisi Ka Hath Laga Hoga, Na Kisi Ne Use Chhuva Hoga Or Na Vo Pine Ke Baad Dunya Ki Sharab Ki Tarah Jism Ke Andar Sad Kar Peshab Banegi Balki Us Sharab Ki Safaai Ka Ye Aalam He Ki Jism Ke Andar Utar Kar Pakiza Khushboo Ban Kar Jism Se Nikalti He Or Jannat Me Rahne Waloñ Ko Khane Ke Baad Sharab Pesh Ki Jayegi, Use Pine Se Unke Pet Saaf Ho Jayeñge Or Jo Kuchh Unhoñ Ne Khaya Hoga Vo Pakiza Khushboo Ban Kar Unke Jismoñ Se Niklega Or Unki Khwahisheñ Or Ragbateñ Phir Taza Ho Jayeñgi.

*📚(Khazin, Al-insan, Tahat Aayat-21 J-4, S-341)*

*📚(Tafsire Seeratul Jinaan, Surah Dahar, Aayat-21)*


Or Isi Tarah Huzur Sadrushshariyah Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Fatmate Hai,

Wahañ Ki Sharab Dunya Ki Si Nahiñ Jis Me Badboo Or Kadwaahat Or Nasha Hota He Or Pine Wale Be Aql Ho Jate Hai, Aape Se Bahar Ho Kar Behuda Bakte Hai, Vo Paak Sharab In Sab Baatoñ Se Paak W Munazzza He.

*📚(Bahare Shariyat, H-1, Jannat Ka Bayan)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*10 June 2021, 28 Shawwalul Mukarram 1442*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts