*🌹SAWAL:-🌹*
Assalam Alaikum Mufti Sahab Awam Me Ye Kaha Jata Hai Hazrat Sabir Pak رضی اللہ تعالیٰ عنہ Ke Jalal Se Unki Zauja Mohtarma Aag Se Jal Gayin??? Hazrat Is Pr Raushni Dalen Hmari Islah Farmaye, JazakAllah
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Jalane Ka Ma'ana Ye Nahi Ki Unke Jism Ko Aag Se Jala Diya Balki Apni Dulhan Ki Khwahishate Nafse Ammara Ko Jalana He..
Jaisa Ki Hazrat Sabire Paak Alaihir Rahma Ki Sawaneh Hayat Me Likha He Ki,
Vo Kab Gavara Kar Sakte The Ki Fitri Or Dunyawi Aaram Ki Khatir Tahayyur Ki Bahtareen Raahat Se Mahroom Ho Jayeñ Or Apne Pahlu Me Siwa E Khuda Ke Or Kisi Ko Jagah De. Chunanche Unhone Ek Nazar Me Apni Mankooha Ko Bhi Apne Hi Rang Me Rang Liya Or Apni Dulhan Ki Khwahishate Nafse Ammara Ko Fana Kar Diya Or Jala Kar Raakh Kar Diya, Naa Ki Uske Tane Khaaki Ko Jaise Hazrat Sabir Rahematullah Alaihi Ko Zaujah Ki Zaroorat Nahi Thi, Ayse Hi Unki Mankooha Ko Bhi Zauj Ki Zaroorat Nahi Rahi. Jaisa Ki Upar Tasawwuf Ke Bayan Me Aa Chuka He Ki Is Ishq Ki Aag Dile Salik Se Maa Siwa Alllah Sab Ko Jala Deti He. Jalane Or Fana Karne Ka Ma'ana Us Paak Jama'at Sufya E Kiram Ke Nazdik Khwahishate Nafs Ko Jalana Or Fana Karna He.
*📚(Tazkira E Jameel Sawaneh Hayat Makhdoome Paak Sabir Kaliyari, Safha-48)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️8 June 2021, 26 Shawwalul Mukarram 1442*
📲+918487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment