Quraan Shareef Ko Makhlooq Kahne Wale Par Kya Hukm He

 *🌹SAWAL:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Hazrat Ki Bargah Me Ek Sawal He,

Agar Koi Quran Sharif Ko Makhlooq Kahe To Uske Bare Me Shariyat Ka Kya Hukm He ?


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Bahare Shariyat Me Me,

Misle Deegar (Allah Ta'ala Ki) Sifat Ke Kalaam Bhi Qadeem He. Haadas W Makhlooq Nahi, Jo Qura'ane Azeem Ko Makhlooq Maane Hamare Imame Aazam W Digar A'imma Radiallahu Anhum Ne Use Kafir Kaha, Balki Sahaba Radiallahu Anhum Se Uski Takfeer Sabit He.


Or Farmate Hai,

Uska Kalaam Aawaz Se Paak He Or Ye Qura'ane Azeem Jisko Ham Apni Zaban Se Tilawat Karte, Masaahif Me Likhte Hai, Usi Ka Kalame Qadeem Bila Soot He Or Ye Hamara Parhna Likhna Or Ye Aawaz Haadas, Yaani Hamara Parhna Haadas He Or Jo Hamne Parha Qadeem Or Hamara Likhna Haadas Or Jo Likha Qadeem, Hamara Sunna Haadas He Or Jo Hamne Suna Qadeem, Hamara Hifz Karna Haadas He Or Jo Hamne Hifz Kiya Qadeem, Yaani Mutajalli Qadeem He Or Tajalli Haadas.

*📚(Bahare Shariyat, H-1, Aqaaid Muta'alliqa Zaato Sifate Ilahi, Mas'ala-17,18)*


Isi Tarah Fatawa Barkaat Me He,

Qura'an Shareef Allah Ta'ala Ki Kitab He Or Uska Kalaam He Or Aawaz Se Paak He. Uska Kalaam Qadeem Bila Soot He. Is Par Islam Or Ahkame Islam Ka Madaar He.

ھدیً للمتقین ہے. ھدیً لناس ہے. 

*📚Al-baynaat Sharah Maktoobat 223* Par He,

 القرآن کلام ﷲ غیر مخلوق فمن قال غیر ھذا فقد کفر

Qura'an Allah Ta'ala Ka Kalaam He Jo Gair Makhlooq He Jis Ne Usko Makhlooq Kaha Usne Kufr Kiya. Isi Me Usi Safha Par He Aulma E Mutakallimeen Ahle Sunnat Ke Nazdeek Qura'an Allah Ka Kalaame Azli Gair Makhlooq Or Sifate Qadeema He.


Imam Rabbani Quddassirahu Ne Farmaya Ki Hazrat Imame Aazam Abu Haneefa Or Hazrat Imam Abu Yusuf Radiallahu Anhuma Ne Muzakara Ke Baad Muttafiq Taur Par Ye Faisla Farmaya Ki Qura'an Ko Makhlooq W Haadas Kahne Wala Kafir Ho Jata He Or Isi Par Ummat Ka Ijma'a Sabit He.

*📚(Fatawa Barkaat, H-4, S-11,12)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓️7 June 2021, 25 Shawwalul Mukarram 1442*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts