Makkah Se Maqame Taneem Or Wahañ Se Wapsi Par Ehram Pahne Ya Nahi

 *🌹SAWAL:-🌹*

السلام علیکم و رحمة الله و بركاته

Sawal Arz Haike


Zaid Madina Shareef Se  Kaam Ke Silsile Mein Muqame Tan'eem (Masjide Aaysha Jo  Hudoode Haram Ke Baher Hai) Jana Chahata Hai, Kiya Baghair Ahram Ja Sakta Hai, Aur Wahan Se Makkah Baghair Niyaate Hajj O Umrah, Ke Baghair Ahram Ke Ja Sakta Hai,

Baray Karam Rahnumai Fermaen

Jazak Allahu Khaira


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Haañ, Zaid Maqam E Taneem  Jane Ki Hi Niyyat Waqaee Kare Uske Baad Vahañ Se Meccah Jane Ka Qasd Va  Irada Kare. Uske Bad Voh Bagair Ehram Ke Meccah Me Dakhil Ho Sakta Hai. 


Bahar E Shariat Me Hai,

Makkah Muazzama Jane Ka Irada Na Ho Balki Meeqaat Ke Andar Kisi Or Jagah Maslan Jiddah Jana Chahta He To Use Ehram Ki Zaroorat Nahiñ Phir Vahañ Se Agar Makkah Muazzama Jana Chahe To Bagair Ehram Ja Sakta He, Lihaza Jo Shakhs Haram Me Bagair Ehram Jana Chahta He Vo Heela Kar Sakta He Basharteki Waqaee Uska Irada Pahle Maslan Jidda Jane Ka Ho. Neez Makkah Muazzama Haj Or Umrah Ke Irada Se Na Jata Ho, Maslan Tijarat Ke Liye Jeddah Jata He Or Vahañ Se Farig Ho Kar Makkah Muazzama Jane Ka Irada He Or Agar Pahle Hi Se Makkah Muazzama Ka Irada He To Ab Bagair Ehram Nahi Ja Sakta. Jo Shakhs Dusre Ki Taraf Se Hajje Badal Ko Jata Ho Use Ye Heela Jaaiz Nahi.

*📚(Bahare Shariyat, H-6, Meeqaat Ka Bayan, Mas'ala-4)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*

*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🗓️5 June 2021, 23 Shawwalul Mukarram 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts