Isaale Sawab Or Chaliswa Din Mukarrar Karna Or Kya Chaliswe Ke Ek Do Din Baad Ya Pahle Fatiha Kar Sakte He

 *🌹SAWAL:-🌹*

_Aoulma_e_Kiraam Ki Bargah Me Salaam Arz Hai..._


 _Hazrat Hamara 3 Sawal Hai Jawab Inayat Karein Badi Meharbani Hogi:_ 


 _*1st Sawal* : 5th May(24 Ramadan) Ko Raat 10:05pm Me Kisi Ka Inteqal Hua To Ab Uska 40liswa Kb Hoga Jisme Qur'Aan Khani/Fateha Khani/Milad Shareef Waghairah Sahi Din Or Waqt Per Ho Sake❓_ 


 _*2nd Sawal :* Wo Ye Ki Rishtedar Hi Me Kuchh Ka Kahna Hai Ke Iss Tarikh Ko Nahi Iss Tarikh Ko Karo Nahi To *3 Chand*  Ho Jayega Kya Iss Tarah Ki Baatein Sahi Hai Ya Nahi Or Iss Per Amal Karna Durust Hai Ya Nahi❓_ 


 _*3rd Sawal :* Wo Ye Ki 40liswa Me Din Kam Or Zayada(Ghataya/Badhaya) Jata Hai Kya Or Iss Tarah Ki Ijazat Hai Ya Nahi❓_ 


 _Adil Sharaf Amin_

_Bhagalpur, Bihar._


*🌹JAWAB:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

1. Marhum Ke Isale Sawab Ke Liye Fatiha Khwani Ya Qura'an Khwani Ya Mahefile Milad Wagairah Kisi Bhi Din Kar Sakte He, Ham Jo Din Muta'ayyan Karte Hai Vo Urfi He Sharai Nahi, Lihaza Ginti Me 39 Ya 40 Ya 41 Jis Din Rakha Jaye Sahih Or Durust He,   Din Ghatane Badhane Me Koi Sharai Qabahat Nahi, Or Aasani Ke Liye Ek Din Mukarrar Kar Lena Bhi Durust He. 40 Ka Adad Roohani W Jismani Taraqqi Ka He Is Liye Chahelum Muqarrar Karte Hai Agar Uske Aage Pichhe Din Bhi Kare To Koi Harj Nahi Or Agar Chaliswañ Karna Chahe To Marhum Ke Inteqal Hone Ke 40ve Din Ya Uske Baad Wale Din Kar Sakte Hai


Jaise 5 May Ko Raat Me Intiqal Hua To Tisa Mahina Hone Ke Eitebar Se 15 June Ko Raat Me 40 Din Pure Honge To Wo 15 June Ki Subah Ya 16 Wi Subah Ko Bhi 40we Ka Fatiha Rakh Sakta He.


2. Is Tarah Ki Koi Baat Nazar Se Na Guzri, Balki Fatiha Ya Isale Sawab Kisi Bhi Din Kar Sakte He, Iski Kisi Bhi Tarikh Ya Din Ki Mumaneat Nahi..


3. Or Teeja, Daswañ, Biswañ Chalishwañ Aur Barsi Wagairah Ka Asl Maqsad Isaale Sawab He, Yaani Qura'an Sharif, Durood Sharif, Kalma Sharif Wagairah Padh Kar Ya Padhwa Kar Uska Sawab Marhumeen Ko Phunchaya Jaaye, Taki Usko Azabe Qabr Ki Sakhti Se Najaat Mile Aur Usko Aakhirat Me Fayda Hasil Ho..


Ab Raha Ye Sawal Ke Uske Liye Din Muqarrar Karna To Uska Muaamla Ye He Ke Aasani Ke Liye Din Fix Karna Jaaiz He, Magar Usko Wajib Ke Darje Me Thehra Lena Sakht Jahalat He, Ke Ye Samjhna Ke Mukammal Teen Din Ya Das Din Ya 40 We Din Agar Sawab Phunchaenge Tabhi Usko Phunchega Warna Nahi Phunchega Ye Shariyat Me Zyadati Karna He...


Lihaza Mukammal 40 Din Par Ya Uske Ek Do Din Pehle Ya Baad Me Bhi Isaal E Sawab Kar Sakte He Isme Koi Haraj Nahi.


Jaisa Ki Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Fatmate Hai,


Amwaat Ko Isaale Sawab Qat'an Mustahab. RasoolAllah ﷺ Farmate Hai,

:من استطاع منکم ان ینفع اخاہ فلینفعہ

Jo Apne Bhai Ko Nafa'a Pahuncha Sake To Chahiye Ki Use Nafa'a Pahunchaye.

*📚(صحیح مسلم باب استحباب الرقیۃ من العین الخ نور محمد اصح المطا بع کراچی ۲ /۲۲۴)*


Or Ye Taynaate Urfiya Hai, Inme Aslan Harj Nahiñ Jabki Unheñ Shar'an Lazim Na Jane, Ye Na Shamjhe Ki Unhiñ Dinoñ Sawab Pahunchega Aage Pichhe Nahiñ.


RasoolAllah ﷺ Farmate Hai,

صوم یوم السبت لالک ولاعلیک ؎

Roz e Shamba Ka Roza Na Tere Liye, Na Tere Upar

*📚(مسند احمد بن حنبل حدیث امرأۃ رضی اﷲ تعالی عنہا دارالفکر بیروت ۶ /۳۶۸)*

*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-9, S-597, Mas'ala-210)*

Wallahu Ta'ala Aa'alam

*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*

*📬Khadim Tadriso Ifta Madresa E Islamiya, Devgadh Bariya, Dahod Gujarat*

*🗓️5 June 2021, 23 Shawwalul Mukarram 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts