Toilet Me Qibla Ki Janib Muh Ya Pith Karna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Naye Makan Me Toilet Sit India Me uttar Dakshin Ki Taraf Bithate Hai Lekin Isme Pith Kis Taraf Honi Chahiye Uttar Ki Taraf Ya Dakshin Ki Taraf Kisi Ne Bataya Ki Dakshin Ki Taraf Awwal Qibla He Is Taraf Pith Nahi Kar Sakte Toilet Me.. Is Ka Jawab Ata Kare Hazrat Pith Kis Taraf Rakh ?


*🌹JAWAB:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Qaza QiblaE Hajat Ke Waqt Ki Janib Pith Ya Munh Karna Jaaiz Nahi. Iske Alawa Jis Taraf Pith Kare Maslan Uttar Ko Ya Dakshin Ko Pith Ya Munh Kare Koi Harj Nahi..


Jaisa Ki Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Fatmate Hai,

Pakhana Peshab Ke Waqt Qibla Muazzama Ka Isteqbal W Istedbaar (Yaani Qibla Ki Taraf Muñh Ya Pith) Donoñ Najaaiz Hai.


Shumal (North/ Uttar) Junoob (South/ Dakshin) Ki Koi Takhsees Nahiñ Qibla Ko Na Munh Ho Na Pith Phir Jis Taraf Bhi Bethe Jaaiz He.


Or Farmate Hai,

Na Baytul Muqaddas Yahañ Se Thik Shumal (Uttar) Ko He Na Bagdad Shareef, Balki Donoñ Yahañ Se Janibe Magrib (West/ Pashchhim) Hi Hai Agarche Shumal Ko Qadre Jhuke Huve Or Shariyat Par Zyadat Ki Ijazat Nahiñ Or Agar Un Logon Ka Kahna Farz Kar Liya Jaye Ki Vo Janibe Shumal Hi Hai To Faqat Isteqbaal Hi Be Adbi Nahiñ Balki Istedbaar Bhi. Ab Mashriq Ya Magrib Ko Munh Ya Pith Hogi Or Junoob W Shumal Ko Yuñ Mana'a Huva Ki Baytul Muqaddas Ya Bagdad Shareef Ko Roo Ya Pusht Hogi To Qaza E Hajat Ke Waqt Kisi Taraf Munh Karne Ki Ijazat Na Rahi. Ye Kyuñ Kar Mumkin. Har Jahat Ka Hukm Uske Donoñ Pahluwoñ Me 45, 45 Darje Tak Rahta He Jis Taraf Namaz Me Isteqbale Qibla, To Tamam Aafaaq Ka Ehata Ho Gaya Or Qaza E Hajat Ki Koi Soorat Na Rahi.

*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-4, Mas'ala-425,426,427)*


Or Hadees Shareef Me He, RasoolAllah ﷺ Farmate Hai,

اذااتی احدکم الغائط فلا یستقبل القبلۃ ولا یولھا ظھرہ ولکن شرقو اوغربو

Jab Tum Me Se Koi Shakhs Pakhane Ko Jaye To Na Qibla Ko Munh Kare Na Pith Purab Pachchhim Munh Karo.

*📚(۱؎ صحیح البخاری باب لاتستقبل القبلۃ بغائط الخ مطبوعہ قدیمی کتب خانہ کراچی ۱/۲۶)*

*📚(سنن ابو داؤد باب کراہیۃ استقبال القبلۃ الخ مطبوعہ آفتاب عالم پریس لاہور ۱/۳)*

*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-6, S-113)*

 

Lihaza Qaza E Hajat Ke Waqt Qibla Rukh Munh Ya Pith Donoñ Jaaiz Nahi. Lihaza Toilet Sit Ka Rukh Uttar Ya Dakshin Kisi Bhi Taraf Rakh Sakte He, 

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓️5 June 2021, 23 Shawwalul Mukarram 1442*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts