Ghar Me Namaz Padhne Wala Paas Wali Masjid Ki Azan Ka Intezar Kare Ya Kahi Bhi Azan Se Namaz Padhle

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalamu Alaikum

Hazrat Mera Sawal Ye Hai Ki Kisi Ek Masjid Mein Azan Hojaye To Kya Humko Ghar Mein Ya Kahi Bhi  Tab Namaz Ada Kar Saktey Hai Ya Hamare Pass Wali Masjid Mein Azan Hone Tak Rukna Hoga Iska Jawab Bahawala Inayat Farmai Hazrat Meherbani Hogi


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Agar Koi Shakhs Ghar Me Namaz Padhta Ho To Uske Liye Ye Zaroori Nahi Ki Usi Ke Muhalle Ki Azan Ke Baad Namaz Padhe. Balki Shahar Me Kahi Bhi Azan Ho Jaye Jiski Aavaz Ghar Aati Ho Uske Baad Vo Namaz Ada Kar Sakta He. 


Jaisa Ki Fatawa Shami Me Allama Ibne Aabedin Shami Alaihir Rahma Taherir Fatmate He,

لكن لا يكره تركه لمصل في بيته في المصر لأن الأذان الحي يكفيه،

*📚(رد المحتار ۔۔کتاب الصلوۃ، باب الاذان)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*

*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🗓️30 Aug 2021, 21 Muharramul Haram 1443*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts