Janaza Ko Dekh Khada Hona Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ

Janaza Ko Dekh Kar Khada Hona Ye Kaha Se Sabit Hai Huzoor

Agar Sabit Hai Tw Daleel Inaayat Farmaiye Huzoor


Khada Ho Chahiye Ya Nahi


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Janaza Aata Dekh Kar Khade Hona Zarori Nahi..


Jaisa Ki Huzur Sadrushshariyah Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Fatmate Hai,

Agar Kisi Jagah Bethe Hoñ Or Wahañ Se Janaza Guzra To Khada Hona Zaroori Nahiñ.

*📚(Bahare Shariyat, H-4, Janaza Le Chalne Ka Bayan, Mas'ala-12)*


Or Shareh Bukhari Hazrat Allama Mufti Shariful Haqq Amjadi Alaihir Rahma Ek Hadees Shareef Ki Tashreeh Me Farmate Hai,


عن النبی صلی اللہ علیہ وسلم قال :اذا راٸتم الجنازة فقموں فمن تبعها فلا یقعد حتیٰ توضع۔۔

Hazrat Abu Saeed Khudri Radiallahu anhu Nabi  ﷺ Se Riwayat Karte Hai Ki Farmaya Jab Tum Janaza Dekho Khade Ho Jaao Or Jo Janaza Ke Sath Jaaye To Jab Tak Zameen Par Na Rakh Diya Jaye, Na Bethe.


Is Hadees Se Sabit Hota He Ki Janaze Ko Dekh Kar Bethe Rahna Mamnoo'a He. Ba'az Hazraat Ne Farmaya Ki Khade Ho Jamlna Wajib He Magar Ye Sahih Nahi.


Is Liye Ki Muslim Me Abu Dawood Me Hazrat Ali Radiallahu Anhu Se Marwi He Ki,

RasoolAllah ﷺ Janaze Ke Liye Khade Hote The Uske Baad Phir Bethe Rahe (Yaani Janaza Dekh Kar Khade Na Hote) 


Ibne Habban Ki Saheeh Me He Ki,

Hazrat Ali Ne Farmaya Hameñ Janaze Ke Liye Khade Hone Ka Hukm Dete The, Uske Baad Phir Bethe Rahte Or Bethne Ka Hukm Diya. 


Hazmi Ne Kaha Ki Mere Paas Se Janaza Guzra To Me Khada Ho Gaya To Hazrat Ali Ne Farmaya, Tumhe Ye Fatwa Kisne Diya. Mene Arz Kiya, Abu Moosa Ash'ari Ne.. To Hazrat Ali Ne Farmaya Sirf Ek Baar Huzur Janaze Ke Liye Khade Huve The. Jab Ye Mansookh Ho Gaya To Mana'a Farma Diya. 


Ahnaaf Or Shafaafe'a Or Hanaabela Ka Mazhab Yahi He Ki Janaze Ke Liye Khada Hona Zaroori Nahi.

*📚(Nuzhatul Qaari Sharah Sahihul Bukhari, J-2, S-812)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓8 Sep 2021, 29 Muharram 1443*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts