*🌹SAWAL:-🌹*
Quran Sharif Shuru Karne Se Pehle Ta'auz Padhna Kaisa ?
Maine Marifa Padha To Usme H Ke Shuru Qirat Mein Padhna Chahiye.... To Padhne Se Kya Murad H Farz Wajib Sunnat Ya Mustahab
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Shuru'a Tilawat Me Ta'awwuz Yaani A'auzu Billah Parhna Mustahab He.
Jaisa Ki Huzur Faqihe Millat Hazrat Allama Mufti Jalaluddin Ahemad Amjadi Alaihir Rahma Farmate Hai,
Tilawat Ke Shuru'a Me A'auzu Billah Parhna Mustahab He Wajib Nahi. Or Beshak Bahare Shariyat Me Wajib Chhapa He. (New Edition Me Mustahab Kar Diya Gaya He) Jis Par Gunya Ka Hawala He Halañki
*📚Gunya, Matbuaa Rahimiya, S-463* Me He
التعوذ یستحب مرۃ واحدۃ ما لم یفصل بعمل دنیوی.
(Yaani Ek Martaba Ta'awwuz Parhna Mustahab He Jab Tak Us Tilawat Me Koi Dunayawi Kaam Haail Na Ho.)
To Maloom Huva Ki Bahare Shariyat Me Bahut Se Masaail Jo Nashreen Ki Gaflatoñ Se Galat Chhap Gaye Hai Un Me Se Ek Ye Bhi He.
Or Qanoone Shariyat, Sunni Bahishti Zewar, Or Jannati Zewar Me Bahare Shariyat Par Aitemad Karke Wajib Likh Diya Gaya Magar Sahih Yahi He Ki A'auzu Billah Parhna Mustahab He Wajib Nahi.
Jaisa Ki Tafseere Khazin Me He.
Or Hazrat Sadrul Afaazil Rahematulllah Alaihi Aayate Karima,
فَإِذَا قَرَأْتَ الْقُرْآنَ فَاسْتَعِذْ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ
*📚(Surah Nahal, Aayat-98)*
Ki Tafseer Me Farmate Hai Ki Qura'an Kareem Ki Tilawat Shuru'a Karne Ke Waqt أَعُوذُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ Parho Ye Mustahab He.
*📚(Fatawa Faizur Rasool, J-1, S-351)*
Isi Tarah Sarkar Tajushshariya Alaihir Rahma Farmate Hai Ki Qura'an Shareef Ki Shuru'a Tilawat Me A'auzu Parhna Mustahab He.
http://jamiaturraza.com/session/8Jan12/16.mp3
http://jamiaturraza.com/session/18Mar12/30.mp3
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓8 Sep 2021, 29 Muharram 1443*
📲+918487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment