Kya Khane Ki Shuruaat Or Aakhir Me Mitha Ya Namkeen Khana Sunnat He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Asslamualaikum

Hazrat Log Ye Khete He Khana Khane Ke Baad Mitha (sweet) Khana Sunnat He?

Par Mene Dekha Or Padha To Mujhe Kahi Bhi Aisa Nhi Mila Kuch Bhi Aap Rehnumai Farmaye Is Par


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Khana Khane Ke Aadab Me He Ki Khane Ki Shuruaat Me Or Aakhir Me Namkeen Ya Namak Khaya Jaye Or Agar Kuchh Mitha Ho To Bich Me Khaye..


Jaisa Ki Barkate Sunnate Rasool Me He,

Jab Khana Khane Ke Liye Bethe To Namkeen Se Shuru'a Kareñ Phir Mithi Cheez Khayeñ Phir Aakhir Me Namkeen Cheez Par Khane Ka Ikhtetam Kareñ.

*📚(Barkate Sunnate Rasool, Khana Khane Ke Sunan W Aadab, S-302)*


Or Sarkar Tajushshariya Alaihir Rahma Farmate Hai,

Mitha Khane Ke Bich Me Khane Se Murad Yahi He Ki Pahle Ibteda Namak se Kare Ya Namkeen Se Kare Or Fir Inteha Bhi Namak Se Ya Namkeen Se Kare Or Bich Me Mitha Khaye.

Http://jamiaturraza.com/session/150209/38.mp3


Or Sunni Bahishti Zewar Me He,

Khane Ki Ibteda Namak Se Ki Jaye Or Khatm Bhi Isi Par Kareñ. Is Se Sattar Bimariyañ Dafa'a Ho Jati Hai. Ye Is Soorat Me He Ki Dastarkhwan Par Namkeen Or Mithi Donoñ Qism Ki Cheezeñ Hoñ Or Dastarkhwan Par Sirf Namkeen Khana Ho Or Baade Faragat Kuchh Mitha Kha Liya Jaye To Mash'hoor Ye He Ki Ye Maula Ali KarramAllahu Wajhahul Kareem Ki Sunnate Kareema He.

*📚(Sunni Bahishti Zewar, S-584)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓8 July 2021, 27 Zilqad 1442*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Kya Lakdi Ke Koyle Se Daant Saaf Karna Jaaiz He ?

 *_Koyle Se Daant Saaf Karna Kesa?_* *🌹SAWAL:-🌹* Assalamualaikum  Hz Ek Swal Hai Ki Kya Mustafa ﷺ Ne Lakdi K Koyle Se Daant Saaf Krne Ko M...

Popular Posts