*🌹SAWAL:-🌹*
4 Rakat Sunnat Me 2 Rakat Me Attahiyat Ke Bad Agar Darood E Ibrahim Ki Kuch Line Pd Li Our Yad Aya Ke Nhi Pdni Thi To Kya Akhir Me Sajda E Sahw Karna Pdega?
*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Char Raka'at Waali Farz Wajib W Sunnate Muakkeda Me Attahiyat Ke Baad Fauran Tisri Raka'at Ke Liye Qayaam Karna He Agar Ek Rukn Yaani Teen Tasbeeh Ki Miqdar Takheer Ki To Sajda E Sahw Wajib Ho Jayega.. Liyaza Kisi Ne Char Raka'at Wali Farz Wajib Ya Sunnate Muakkeda Namaz Ke Qa'ada E Ula Me Tashahud Ke Baad Durood Shareef Ka Kalma اللہم صلی علی محمد Bhi Padh Liya To Ada E Rukn Me Takheer Hone Ki Wajah Se Sajda E Sahw Wajib Hoga.
Neez Char Raka'at Wali Nafl Or Sunnate Gair Muakkeda Namaz Ke Qa'ada E Ula Me Attahiyat Ke Baad Durood Shareef Bhi Parhna He In Namazoñ Me Durood Shareef Padhne Se Sajda E Sahw Nahi Balki Attahiyat Ke Baad Durood Shareef Parhna Hi Mustahab He.
Aysa Hi *📚Bahare Shariyat, H-4, Sajda E Sahw Ka Bayan*
Or *📚Anware Shariyat, S-65* Wagairah Kutub Me Mazkoor He..
Masaile Sajda E Sahw Me He,
Farz Wajib Or Sunnate Muakkeda Namazoñ Ke Pahle Qa'ada Me Attahiyat Ke Baad Bhul Kar Durood Shareef Parh Liya Ya Sirf اللہم صلی علی محمد Ya اللہم صلی علی سیدنا Tak Parha Ki Yaad Aa Gaya Or Fauran Tisri Raka'at Ke Liye Khada Ho Gaya Us Par Sajda E Sahw Wajib He.
Agar Attahiyat Ke Baad Sirf اللہم Ya اللہم صلی Ya اللہم صلی علی Kaha To In Sab Soortoñ Me Sajda E Sahw Wajib Nahi He.
*📚(Masaile Sajda E Sahw, S-98,99)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza,Petlad Gujarat_*
*🗓12 July 2021, 1 Zulhijja 1442*
📲+918487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment