*🌹SAWAL:-🌹*
Peetal Jewellery Pehanna Jaayez Nahi To Peetal K Jewellery K Business (Kamaana) Karna Kaisa ?
*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Baraily Shareef Me Mun'aqid Hone Wale Fiqhi Seminar Me Isi Tarah Ke Sawal Ke Jawab Me Tay Hua Ki,
Vo Zewraat Jin Par Sone Ya Chandi Ki Mulamma'a Saazi (Yaani Sone Chandi Ka Paani Chadhana) Ki Gai Ho Ya Na Ki Gai Ho Unki Kharido Farokht Makroohe Tahreemi He. Albatta Bechne Ki Mumaneat Waisi Nahiñ Jaise Pahanne Ki Mumaneat He.
Durre Mukhtar Me He,
فاذاثبت کراہۃ لبسھا للتختم ثبت کراھۃ بیعھا لما فیہ من الاعانۃ علیٰ ما لا یجوز۔ وکل ما ادی الیٰ مالایجوز لایجوز
*📚(J-9, S-518, Maktaba Zakariya)*
Fatawa Razviya Me He:
Mas'ala: Ek Shakhs Lohe Or Peetal Ka Zewar Bechta He Or Hindu Muslim Sab Kharidte Hai Or Har Qaum Ke Hath Vo Bechta He Arz Ki Ye Vo Janta He Ki Jab Musalman Kharid Kareñge To Usko Pahenege To Aysi Cheezoñ Ka Farokht Karna Musalman Ke Hath Jaaiz He Ya Nahi ?
Jawab: Musalman Ke Hath Bechna Makroohe Tahreemi He.
*📚(J-9, S-133, Nisf Aakhir)*
قال ابن الشحنہ: ’’الا ان المنع فی البیع اخف منہ فی اللبس اذ یمکن الانتفاع بھا فی غیر ذالک ویمکن سبکھا وتغییر ھیئتھا"
*📚(Raddul Muhtar, J-9, S-519, Maktaba Zakariya)*
Albatta Usse Hasil Shuda Maal Maale Khabees Nahiñ Balki Maale Tayyab He Us Par Zakat Wajib Or Use Kisi Bhi Jaaiz Kaam Me Kharch Kiya Ja Sakta He. Uski Nazeer Bee'a Waqte Azane Jumuah He Ki Aysi Bee'a Makrooh He Magar Mabee'a W Saman Halaal He.
Or Dusre Sawal Ke Jawab Me He,
Jin Zewrat Ka Pahanna Makrooh He Unka Banana Banwana Bhi Makrooh He.
Durre Mukhtar Me He,
’’فاذا ثبت کراہۃ لبسھا للتختم ثبت کراھۃ بیعھا لما فیہ من الاعانۃ علیٰ ما لا یجوز۔ وکل ما ادی الیٰ مالایجوز لایجوز‘‘
*📚(J-9, S-518, Maktaba Zakariya)*
Or Kafir Nokar Se Musalman Ke Hath Farokht Karana Makrooh W Najaaiz He.
لما فیہ من الاعانۃ علیٰ المعصیۃ کما مر۔
Albatta Kuffar Ke Hath Bechne Me Harj Nahi He.
*📚(Faisla Jaat Sharai Counsil, S-248,249)*
Isi Tarah Sarkar Tajushshariya Alaihir Rahmato Ridwan Farmate Hai,
Artificial Jwellary Aurtoñ Ko Pahanna Jaaiz Nahi He, Uski Tijarat Gunah Par Ae'aanat He.
http://jamiaturraza.com/session/11Jan15/17.mp3
Dusre Sawal Ke Jawab Me Farmate Hai,
Artificial Zewaraat Jabki Taanbe Pital Ki Ho Ya Kisi Or Dhaat Ke Ho Sone Chandi Ke Alawa Aurtoñ Ko Unka Pahenna Jaaiz Nahi Or Unki Bay Bhi Makrooh He Ki Isme Gunah Par Ae'aanat He.
http://jamiaturraza.com/session/24Feb13/16.mp3
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️7 July 2021, 26 Zilqad 1442*
📲+918487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment