*🌹SAWAL:-🌹*
Halate Namaz Me Attahiyat Padhte Waqt Shahadat Ki Ungli Kyuñ Uthate He Or Iska Tareeqa Kya He ?
*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Tash'hud Me Kalma E Shahadat Par Ungli Uthana Sunnat He,
Jaisa Ki Hadeese Paak Me He,
Jab Namaz Me Bethte To (huzur ﷺ) Apne Donoñ Hath Donoñ Guthnoñ Par Rakhte Or Apni Dahni (Right) Ungli Jo Anguthe Se Mili He Use Uthate Usse Ishara Karte Or Apna Baayañ Hath Baayeñ Guthne Par Bichhate.
*📚(Muslim)*
Is Hadees Ki Sharah Me Hakeemul Ummat Mufti Ahemad Yaar Khan Naeemi Alaihir Rahma Farmate Hai,
Is Tarah Ki Zaban Se Farmate لا الہ الا اللہ Or Ye Ungli Utha Kar Tauheed Ka Ishara Karte Taaki Qaulan W Amlan Tauheed Ki Gawahi Ho Or Baad Ishara Phir Hath Bichha Dete Taaki Ungliyañ Qibla Roo Raheñ.
*📚(Miratul Manajeeh Sharah Mishkatul Masabih, J-2, S-53, Baabut Tash'hud, Hadees-907)*
Or Dusri Hadeese Paak Me He,
Riwayat He Hazrat Naafe'a Se Farmate Hai Ki Hazrat Abdullah Bin Umar Jab Namaz Me Bethte To Apni Ungli Se Ishara Karte Or Apni Nigah Us Par Rakhte.. Phir Farmaya Ki Huzur ﷺ Ne Irshad Farmaya Ki Ye Shaitan Par Lohe Se Zyada Giraañ He Yaani Ungli..
*📚(Ahmad)*
Is Ki Sharah Me He,
Yaani Jaise Neza Bhala Lagne Se Tumheñ Takleef Hoti He Usse Zyada Takleef Shaitan Ko Is Ishara Se Hoti He Iski Barkat Se Shaitan Use Bahkane Se Mayus Ho Jata He.
*📚(Miratul Manajeeh Sharah Mishkatul Masabih, J-2, S-59, Hadees-917)*
Iska Tareeqa Bayan Karte Huve Huzur Sadrushshariyah Alaihir Rahmato Ridwan Farmate Hai,
Attahiyat Me Jab Kalma "Laa" Ke Qareeb Pahucnhe Dahne (Right) Hath Ki Beech Ki Ungli Or Anguthe Ka Halqa Banaye Or Chhungaliyañ Or Us Paas Wali Ko Hatheli Se Milade Or Lafz "Laa" Par Ungli Uthaye Magar Usko Junbish Na De Or Kalma "ilaa" Par Girade Or Sab Ungliyañ Fauran Sidhi Karle.
*📚(Bahare Shariyat, H-3, Namaz Parhne Ka Tareeqa)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲+918487928693
*🗓10 Nov 2021, 4 Rabi Us Saani 1443*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment