*🌹SAWAL:-🌹*
Electricity Ki Chori Karna Kaisa Answer In Details With Aur Aise Shakhs Ke Waha Dawat Khana Kaisa ?
*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Chori Ki Bijli Istemal Karna Ye Fe'al Jaaiz Nahi, Musalaman Ko Isse Bachna Chahiye.. Magar Uske Yahañ Dawati Ashya Maale Halal Se Kharidi Gai Ho To Uske Yahañ Khane Me Harj Nahiñ.
Jaisa Ki Fatawa Faqihe Millat Me He,
Masjid Me Bila Connection Chori Se Bijli Jalana Mana'a He K Isme Hukumat Ko Dhoka Dena Or Uske Qanoon Ko Todna He. Apne Aap Ko Ahaanat Ke Liye Pesh Karna, Apni Izzat Ko Khatra Me Dalna He. Or Izzat Ki Hifazat Karna Zillat W Ruswai Se Bachna Zaroori He.
Sarkar Mufti Aazame Hind Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai Ki Yahañ Kuffar Agarche Harbi Hai Magar Bila Ticket (rail Me) Safar Karna Apne Ko Ahaanat Ke Liye Pesh Karna He Apni Izzat Ko Khatra Me Dalna He Ki Khilafe Qanoon He. Mustawjab Saza Hoga Is Harkat Se Ehteraz Lazim Jo Maujube Zillat W Ruswai Ho.
*📚(Fatawa Mustafwiya, J-3, S-146)*
*📚(Fatawa Faqihe Millat, J-1, S-192)*
Lihaza Chori Ki Bijli Istemal Karna Qanoonan Jurm He Jisse Pakde Jane Par Musalman Ki Beizzati Or Ruswai Ka Andesha He Or Qanoonan Saza Ka Haqdaar Hoga Jisse Musalaman Ko Ehteraz Lazim He.. Magar Chori Ki Bijli Istemal Karne Se Us Ki Dawat Khana Najaaizo Haram Na Hoga.. Ki Jo Khane Ki Cheeze Se Vo Halal Kamai Ki He. Or Agarche Us Bijli Se Freej Wagairah Chalata Ho Magar Khana Najaaiz Na Hoga.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓21 April 2022, 19 Ramzanul Mubarak 1443*
📲+918487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment