*🌹SAWAL:-🌹*
Aur Koi Aisa Padosi Jo Waqai Bohot Zyada Pareshan H Per Wo Bad Aqeeda H Ya Bad Aqeedo Ke Saath Uska Uthna Baitha Itna H Ke Wo Unko Bhi Sahi Kehta H To Aise Ko Zakat De Sakte H Ke Nahi....?
*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Huzur Sadrushshariyah Alaihir Rahma Farmate Hai,
Badmazhab Ko Zakat Dena Jaaiz Nahi. Jab Badmazhab Ka Ye Hukm He To Wahabiya E Zamana K Tauheene Khuda W Tankeese Shane Risalat Karte Or Shaye'a Karte Hai, Jinko Akabir Aulma E Harmain Tayyibain Ne Bil Ittifaq Kafiro Murtad Farmaya Agarche Vo Apne Aapko Musalman Kaheñ Unheñ Zakat Dena Haram W Sakht Haram Or Di To Hargiz Ada Na Hogi.
*📚(Bahare Shariyat, H-5, Baab Maale Zakat Kin Logoñ Par Sarf Kiya Jaye, Mas'ala-52)*
Or Fatawa Faqihe Millat Me He,
Gair Muqallid Ko Zakat Dena Haram He Or Usko Dene Se Zakat Ada Nahiñ Hui.
Aala Hazrat Imam Ahemad Raza Muhaddise Barailvy Radiallahu Anhu Kafir, Mushrik, Wahabi, Rafzi, Qadiyani Wagairah Ko Zakat Dene Ke Muta'alliq Taherir Farmate Hai,
Unko (Zakat) Dena Haram He. Or Unko Di Zakat Ada Na Hogi.
*📚(Fatawa Razviya, J-4, S-491)*
*📚(Fatawa Faqihe Millat, J-1, S-315)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
#🗓20 April 2022, 18 Ramzanul Mubarak 1443*
📲+918487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment