*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum
Sawal Yah Hai
Allah Tere Rahim Ke Sadqe Tere Karimi Ke Sadqe
In Alfaaz Ka Dua Mein Padhna Kaisa Hai
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Chuñ Ki Sadqa Ka Ma'ana Wasila Aam Taur Par Mash'hooro Ma'aroof He, To Ye To Nahiñ Kahege Ki Allah Ki Shan Me Ya Uski Sifat Ki Shan Me Kisi Ne Sadqe Ka Istemal Kiya To Ye Kufr Ho Jaye.. Ki Ye Wasile Ke Ma'ana Me Hota He Magar Chuñki Apne Asl Ma'ana Ke Lihaz Se Sadqe Ka Itlaaq Allah Ki Zaat Par Muhaal He Is Liye Iske Istemal Se Bachna Chahiye.. Yahi Pahle Bataya Gaya...
Uski Misaal He Ya Haziro Ya Naazir.. Allah Ko Haaziro Naazir Nahiñ Kahna Chahiye, Ki Haaziro Naazir Apne Ma'ane Waz'ee Ke Aitbar Se Allah Ki Zaat Par Uska Istemal Muhaal He Ki Ye Makaan Aur Jism Ko Chahta He.. Magar Chuñki Haaziro Naazir Bama'ana Maujud Ye Musta'amal He Is Liye Aala Hazrat Radiallahu Ta'ala Anhu Ne Bhi Fatawa Razviya Sharif Me Yahi Farmaya Shami Me Bhi Yahi He Ki Haaziro Naazir Chuñki Maujud Ke Ma'ana Me Istemal Hota He Is Liye Allah Ki Shan Me Haaziro Naazir Ka Istemal Karna kufr Nahiñ He.. Han Allah Ki Shan Me Haaziro Naazir Ka Istemal Karna Mamnoo'a He..
Lihaza Hasil Ye Ki Lafze Sadqa Ka Allah Ki Shan Me Ya Us ki Sifat Me Istemal Nahiñ Karna Chahiye Hattal Imkaan Ehteraz Karna Chahiye. Lekin Agar Koi Istemal Kare To Kufr Nahiñ.
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*🎙️Al-Jawab: Hazrat Allama Mufti Muzzammil Barkati Sahab Qibla*
*📬Baani Sadrushshariyah Academy W Mufti Amjadi Darul Ifta, Porbandar Gujarat*
*🗓️27 April 2022, 25 Ramzanul Mubarak 1443*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment