Hundi Se Paise Bhejna Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
السلام علیکم 
Hazrat Mera Sawal H K Kya Hundi Se Paise Bhejna Jaiz Jabke Wo Humse Bahar Mulk Me Waha Ki Currency Le Aur Taqreeban 10 Din Bad Humare Account Me Paise Dale Aur Jo Exchange Rate Chal Rha H Usse 1 Rupya Ya Zada Hume De To Kya Ye Jaiz Hoga

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Hundi Se Paise Bhejna Jaaiz He,
Magar Is Me Ye Khayal Rahe Ki Agar Hukoomat Ki Janib Se Giraft Ho Ya Qanoonan Jurm Ho To Is Tarah Bhejne Se Bachna Chahiye...

Jaisa Ki Baraily Shareef Me Hone Wale Seminar me Tay Hua Ki,
Currency Notoñ Ko Dusre Notoñ Se Khwah Ek Mulk Ke Hoñ Ya Chand Mumaalik Ke (Tabyeenul Badleen) Ke Sath Un Par Likhi Hui Qeematoñ Se Kamo Besh Par Bee'a Karna Jaaiz He Albatta Samaniyat Ki Wajah Se Ahdul Badleen Par Qabza Zaroori He.

Jaisa Ki Fatawa Razviya Ke Risala
 رسالہکِفْلُ الفقیہِ الفاہِم فی احکامِ قِرطاسِ الدِّراھمِ(۱۳۲۴ھ)(کاغذی نوٹ کے احکام کے بارے میں سمجھدار فقیہ کا حصہ)
Me He,
و تحقیق ذٰلک ان بیع النوط بالدراہم کالفلوس بھا لیس بصرف حتی یجب التقابض فان الصرف بیع ماخلق للثمنیۃ بما خلق لہا۱؎ کما فسرہ بہ البحر والدروغیرہما ومعلوم ان النوط والفلوس لیست کذٰلک وانما عرض لھا الثمنیۃ بالاصطلاح مادامت تروج والا فعروض وبعدم کونہ صرفا صرح فی ردالمحتار عن البحر عن الذخیرۃ عن المشائخ فی باب الربا نعم لکونھا اثمانا بالرواج لابدمن قبض احد الجانبین والاحرم لنھیہ صلی اﷲ تعالٰی علیہ وسلم عن بیع الکالئ بالکالئ والمسئلۃ منصوص علیہا فی مبسوط الامام محمد واعتمدہ فی المحیط (عہ) والحاوی والبزازیۃ والبحر والنھر وفتاوی الحانوتی والتنویر والھندیۃ وغیرہا وھو مفاد کلام الاسبیجابی کمانقلہ الشامی عن الزین عنہ،
*📚(Fatawa Razviya, J-7, S-147, Raza Acadmy Mumbai)*

Faqeehe Aazame Hind Hazrat Sadrushshariyah Alaihir Rahmato Ridwan Bahare Shariyat Me Farmate Hai,
Not Ko Not Ke Badle Me Bechna Bhi Jaaiz He Or Agar Donoñ Muayyin Karleñ To Ek Not Ke Badle Me Donoñ Bhi Kharid Sakte Hai Jis Tarah Ek Paise Se Muayyin Do Paisoñ Ko Kharid Sakte Hai Rupyoñ Se Usko Kharida Ya Becha Jaye To Juda Hone Se Pahle Ek Par Qabza Hona Zaroori He Jo Raqam Us Par Likhi Hoti He Us Se Kamo Besh Par Bhi Not Ka Bechna Jaaiz He Das (10) Ka Not Panch (5) Me Barah (12) Me Bhi Bee'a Karna Durust He Jis Tarah Ek Rupye Se 64 Paise Ki Jagah 100 Paise Ya Pachas Paise Beche Jayeñ To Isme Koi Harj Nahiñ.
*📚(Bahare Shariyat, J-11, S-207, Bee'a Sarf Ka Bayan, Farookiya Book Depo)*

Hukumat Ki Taraf Se Gair Manzoor Shuda Baaz Ashkhaas Ujrat Par Currencyañ Maabainul Mumaalik Muntaqil Karte Hai Ayse Dafaatar W Ashkhaas Baaz Awqaat Qanooni Giraft Me Aa Jate Hai Or Unko Di Gai Raqameñ Ya To Qurq (Hakim Ke Zabt Me ) Ho Jati Hai Ya Jurmana W Rishwat Me Kharch Ho Jati Hai Or Mursal Alaiha Ya Muhal Lah Ko Nahiñ Pahunchti Hai. Ayse Logoñ Se Ijarah Ke Karobar Me Ziya'e Maal W Zillate Nafs Ka Andesha E Qawi He Ayse Logoñ Se Murasilate Ruqoom Ka Ijarah Na Kiya Jaye.
*📚(Faisla Jaat Sharai Council, S-109 Ta 112)*
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️15 April 2022, 13 Ramzanul Mubarak 1443*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts