*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum Warahmatullahi Wabarakatuhu
Emi Pe Kuch Electronics Items Lete Jo Usme Interest Lagta Hai Kya Wo Bhi Haraam Hai..Kya Emi Pe Kuch Khareed Sakte Hai Ya Nhi ??
Barae Meherbani Jawaab Dijiye Jazakallah Khair
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Emi, Instalment, Ya Hapta Ya Qistoñ Par Saman Kharidna Bechna Jaaiz He..
Iski Soorat Ye He Ki EMI Ya Qistoñ Par Saman Lete He To Naqd Me Kam Or Udhar Me Us Saman Ki Qeemat Zyada Hoti He.. Ki Naqd Me Or Udhar Me Uski Qeemat Juda Hoti He.. Or Ye Jaaiz He.. Jabki Ye Bechne Wale Or Kharidar Ke Darmiyan Us Cheez Ki Qeemat Muqarrar Ho Jaye, Agarche Bazar Ki Qeemat Se Zyada Ho.. Or Ye Bhi Tay Ho Jaye Ki Mahana Ya Salana Qistoñ Ki Raqam Kya Hogi.. Or Adaygi Kitni Muddat Me Hogi.. Or Us Bee'a Me Koi Sharte Fasid Yaani Qist Let Hone Ki Soorat Me Jurmana Ki Shart Ya Ye Shart Ki Agar Itne Arse Me Qist Ada Na Ki Gai To Pahli Raqam Zabt Ho Jayegi Wagairah) Na Ho To Ye Bee'a Bila Karahat Jaaiz He.
Jaisa Ki Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Is Tarah Ke Ek Sawal Ke Jawab Me Taherir Farmate Hai,
Ye Fe'al Agarche Nirkh Bazar (Bazar Ki Qeemat) Se Kaisa Hi Tafawat Ho Haram Ya Najaaiz Nahiñ Ki Vo Mushtari Par Jabr Nahiñ Karta Na Use Dhoka Deta He Or Apne Maal Ka Har Shakhs Ko Ikhtiyar He Chahe Korhi Ki Cheez Hazaar Rupya Ko De, Mushtari Ko Garz Ho Le, Na Ho Le..
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-17, Mas'ala-24)*
Or Ek Jagah Farmate Hai,
Haañ Jaaiz He Jab Ki Donoñ Haqiqatan Bee'a Ka Irada Kareñ Na Ki Qarz Ka Is Liye Ki Bechna Jaaiz Or Kami Beshi Jaaiz Or Muddat Mu'ayyin Par Udhar Jaaiz, Jaisa Ki Ham Sab Baatoñ Ki Tahqeeq Bayan Kar Aaye Or Qist Bandi Bhi Ek Qism Ki Muddat Hi Muayyin Karna He,
Haañ Agar 10 Ka Note Qarz Diya Or Shart Karli Ki Qarz Lene Wala 12 Rupye Ya 11 Ya Maslan Ek Do Aani Upar Das, Ab Ya Kuchh Muddat Baad Qist Bandi Se Ya Bila Qist Wapas De To Ye Zaroor Haram Or Sood He Is Waste Ki Vo Ek Qarz He Jis Se Nafa'a Hasil Kiya.
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-17, 493, 494)*
Or Huzur Faqihe Millat Alaihir Rahma Taherir Famate Hai,
Koi Bhi Saaman Is Tarah Bechna Ki Agar Naqd Qeemat Fauran Ada Kare To 300 Qeemat Le Or Agar Udhar Saman Koi Le To Usse 350 Rupya Usi Saaman Ki Qeemat Le.. Ye Shariyat Me Jaaiz He Sood Nahiñ He Naqd Or Udhar Ka Alag Alag Bhaw Rakhna Shariyat Me Jaaiz He. Magar Zaroori He Ki Saman Bechte Waqt Hi Ye Tay Kar De Ki Us Saman Ki Qeemat Naqd Kharido To Itni He Or Udhar Kharido To Itni He (To Ye Jaaiz He).
*📚(Fatawa Faizur Rasool, J-2, S-380)*
Lekin Agar Qist Ki Takhir Ki Soorat Me Sood Ya Jurman Dena Pade To Phir Ye Aqd Sarasar Najaaizo Haram Hoga.
Jaisa Ki Huzur Faqihe Millat Alaihir Rahma Taherir Famate Hai,
(Qistoñ Ke Karobar Me) Ye Jaaiz Nahiñ Ki 300 Rupya Me Farokht Kar Diya ab Agar Qeemat Milne Me Hafta Ki Der Ho Gai To Us Se 25 Ya 50 Zyada Le Aysa Karega To Sood Ho Jayega.
*📚(Fatawa Faizur Rasool, J-2, S-380)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓23 April 2022, 21 Ramzanul Mubarak 1443*
📲+91
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment