So Kar Utha Muh Me Khun Tha To Roze Ka Hukm ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Sone Se Pahle Muñh Mein Khoon Nahi Nikal Raha Thaa So Kar Utha To Muñh Mein Khun Thaa Roza Jayegaa Ya Nahi


*🌹JAWAB:-🌹*

Fauran Thuk De Or Agar Thuk Hi Raha Tha Ki Khun Nikal Ke Halaq Se Niche Utra Or Vo Khun Thuk Se Zyada Ya Barabar Tha Ya Kam Tha Magar Us Khun Ka Maza Halq Me Mahesoos Hua To In Sab Soortoñ Me Roza Tut Jayega.. Or Agar Kam Tha Or Halaq Me Khun Ka Maza Mahesoos Nahi Hua Usko Nigal Bhi Nahi Gaya Fauran Thuk Diya To Roza Nahiñ Tutega..


Bahare Shariyat Me He,

Daantoñ Se Khun Nikal Kar Halq Se Niche Utra Or Khun Thuk Se Zyada Ha Barabar Tha Ya Kam Tha, Magar Uska Maza Halq Me Mahsoos Hua To In Sab Soortoñ Me Roza Jata Raha Or Agar Kam Tha Or Maza Bhi Mahsoos Na Hua, To Nahiñ.

*📚(Bahare Shariyat, H-5, S-986)*

*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*

*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🗓️24 April 2022, 22 Ramzanul Mubarak 1443*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+9

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts