Saheri Ke Waqt Dawai Khai Or Kulli Wagairah Bhi Ki Fir Saheri Ke Baad Uske Aasraat Nazar Aaye To Roze Ka Hukm

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalamualaikum Hazrat 

Sehri Mein Ek Dava Se Kulli Kiya Tha Uske Baad Brush Kar Liya Aur Miswak Bhi Kiya Thaa Aur Pani Wagairah Bhi Piya Tha Aur Fir Wuju Kiya Tab Thuka To Pila Thook Laga Magar Waha Pr Light Thi To Socha Light Ka Colour Aysa H Is Liye Aisa Laga.... Lekin Jab Subah Sisha Ke Dekha To Vo Raat Wali Dava Pure Muñh Mein The Aur Uske Juz Thook Ke Sath Muh Mein Jaa Rahe The Fir Miswak Karke Muñh Saaf Kar Liya Aise Mein Roza Tutega Ya Nahi ?


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Agar Saheri Khatam Hone Se Pahle Dawai Ke Kulle Kiye Or Brush Wagairah Se Achhe Se Munh Wagairah Saaf Kar Liya Baadahu Shaheri Khatam Hone Ke Bhi Uske Asraat Me Muñh Me Nazar Aaye To Fir Uska Bhi Hukm Wahi Hona Chahiye Jo Khun Ka He.. Yaani Agar Vo Dawai Thuk Ke Sath Nigal Gaya Or Uska Maza Halaq Me Mahesoos Hua To Roza Jata Rahega.. Or Agar Uska Maza Halaq Me Mahesoos Nahiñ Hua Or Baar Baar Thukta Raha Nigla Nahiñ Is Soorat Me Roza Nahiñ Tutega...

Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab

*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*

*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🗓️24 April 2022, 22 Ramzanul Mubarak 1443*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+91

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts