Janwar Wagairah Ki Print Kiya Hua Kapda Istemal Karna Kesa ? Or Design Wali Jewellery Wagairah Ka Hukm ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Wa Rahmatullahi Wa Barkatuh

Koi Janwar Jaise Tota, Peacork Ke Jaisa Design Ke Print Ka Kapda, Jewellery, Ya Mehendi Design Ya Koi Cheez Istemal Karna Kaisa

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Tasweer Ke Ta'alluq Se Hamare Tamam Aulma E Kiram Ka Bahukme Hadees Ye Ittefaq He Ki Vo Haram He...

Hadees Shareef Me Pyare Aaqa  ﷺ Ne Irshad Farmaya,
أشد الناس عذاباً عند الله المصورون
Yaani Allah Tabarak W Ta'ala Ke Yahañ Sabse Zyada Azab Un Logoñ Par Hoga Jo Jandar Ki Tasweer Banate He..

Or Dusri Hadees Shareef Me He,
لا تدخل الملائكة بيتا فيه كلب ولا صورة 
Jis Ghar Me Kutta Ya Tasweer Ho Usme Rahemat Ke Farishte Nahiñ Aate..

Huzur Sadrushshariyah Badrut Tariqah Mufti Amjad Ali Aazmi Alaihir Rahmato Ridwan Fatawa Amjadiya Jild-4 Me Taherir Farmate Hai,
Tasweer Khinchna Ya Khichwana Ya Use Bawajhe Tazeem Rakhna Najaaizo Haram He. Or Jis Ghar Me Tasweer Hoti He Usme Rahemat Ke Malaika Nahiñ Aate.. Uska Makan Me Bataure Tazeem W Aejaz Rakhna Jaaiz Nahiñ...

Lihaza In Tamam Baato Se Ye Baat Sabit Hui Ki Jandar Ki Tasweeroñ Ka Rakhna, Unke Print Kiye Huve Kapde Pahenna, Ya Nafa'a Ki Niyyat Se Use Farokht Karna Apne Ghar Me Rakhna Ye Sab Haramo Gunah He.. Ayse Shakhs Ko Chahiye Ki Vo Taubah Kare Or Haram Kaamo Se Baaz Aaye.. 

Rahi Baat Jewellery Or Design Print Ki Jisme Jaan Nahiñ Hoti To Usme Ijazat He Ki Vo Ayse Kapdo Ka estemal kare  ha Mardoñ Ke Liye Zyada Bhadkile Kapde Na Ho aur aise kapde k jo aurto se mushabahat rakhte hai.To Jaaiz He..

Saiyedna Ibne Abbas Radiallahu Anhu Farmate Hai,
فإن کنت لا بد فاعلاً فاصنع الشجر وما لا روح فیہ․
 (مشکاة شریف، ص: ۳۸۵، ۳۸۶، بحوالہ: صحیحین)
Yaani Darakht Wagairah Ki Tasweer Ke Jisme Jaan Nahiñ He Vo Jaaiz He..
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️22 Jan 2022, 22 Zil Qa'ad 1443*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts