*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Nikah Me Wakalat Hoti He Vo Bata Dijye Kya Kya Karna Hota He
Ladki Se Ijazat Kis Tarah Li Jaye Pura Tareeqa Bata Dijye..
Or He Bhi Ki Jo Masjid Ke Imam Sahab Hai Kya Vo Khud Hi Wakil Ban Sakge Hai Ya Ladke Waloñ Ki Taraf Se Gawah Wakil Donoñ Ban Sakte Hai.. Jawab Inayat Farmayeñ JazakAllah Khairan Kaseera..
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Nikah Me Wakalat Ka Tareeqah Ye He Ki Jo Shakhs Nikah Padhaye Vo Shakhs Bawuzu Ho Kar Ladki Se Ijazat Talab Kare, Ladki Ke Paas Mahar Ki Raqam Le Kar Jaye Or Usse Is Taur Par Ijazat Hasil Kare, Ki Kya Tera Nikah Fulañ Bin Fulañ Bin Fulañ Se Kar Diya Jaye ? To Aurat Kahe Haañ Ya Jo Nikah Padhane Wala He Vo Ijazat Lene Ke Liye Na Gaya Balki Us Ladki Ka Wali Baap Ya Bhai Koi Ijazat Le Kar Aaya To Vo Is Taur Par Ijazat Le Ke, Fulañ Bin Fulañ Bin Fulañ Ko Tune Wakil Kiya Ki Vo Tera Nikah Fulañ Bin Fulañ Se Karde ? Is Taur Par Ladki Se Uska Nikah Karane Ki Ijazat Talab Ki Jati He...
Albatta Apni Apni Maadari Zabanoñ Me Bhi Aap Ladki Se Ijazat Le Sakte Hai...
Bas Yahi He Ki Ladki Mu'ayyin Ladke Ke Sath Nikah Ke Liye Raazi Ho Or Vo Uski Ijazat De...
Bahetar Or Munasib Yahi He Ki Jo Nikah Padhaye Wahi Ladki Se Uska Nikah Padhane Ki Ijazat Talab Kare... Ab Ye Nikah Padhane Wala Muhalle Ki Masjid Ka Imaam Bhi Ho Sakta He, Ladki Ka Baap Bhi Ho Sakta He, Ladki Ka Bhai Bhi Ho Sakta He, Yaani Ladki Ke Jo Wali He Vo Bhi Usse Ijazat Hasil Karke Wakil Ban Kar Uska Nikah Padha Sakte Hai... Usi Tarah Gawah To Ye Gawah Muhalle Ke Afraad Bhi Ho Sakte He, Ladki Ladke In Dono Ke Ghar Waloñ Me Se Bhi Muntakhab Kiye Ja Sakte He, Ye Tamam Masaail Bahare Shariyat Me Mukhtalif Jaghoñ Par Huzur Sadrushshariyah Alaihir Rahmato Ridwan Ne Taherir Farmaye He...
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️29 May 2022, 27 Shawwal 1443*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment