Chanda Ki Raqam Me Not Tabdil Karna Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Agar Kisi Ke Paas Madarsa Ke Chanda Ke Paise Hai, Or Kisi Ne Kaha Ki Aap Mujh Se 500 Ka Ek Not Lo Or Mujhe 100-100 Ke Note Do. To Kha Chanda Ki Raqam Me Se De Sakte Hai ?


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Zakat Ke Jo Paise Log Dete He Vo Wakil Ke Paas Amanat Hote He, Or Amanat Me Rupye Paise Muayyan Hote He, Baharhaal Agar Dene Waloñ Ne (Mu'akkil)Wakil Ko Sarahatan Paise Badal Ne Ya Dilane Ki Ijazat Di Ho To Fir Is Baat Ki Ijazat Hogi Or Agar Sarahatan Ijazat Nahi Li To Vo Sarahatan Ijazat Lele..


Lekin Maujuda Zamane Me Chuñki Paise Bank, Google Pay Wagairah Ke Zariye Bhi Bheje Jate He, Yuñhi Bahut Sari Zakate Bahut Sare Logoñ Ki Khalat Malat Ho Jati He... To Agar Urf Logo Ki Ijazat Ka Ho To Fir Ye Bhi Jaaiz Hoga.. Albatta Ehtiyat Ka Maqam Ye He Sarahatan Ijazat Leli Jaye...

       

Balki Fatawa Shami Me Yahañ Tak Kaha Gaya Ki Vo Mu'akkil Ke Paiso Ko Rok Le Or Apne Paise Dede Ki Vo Baad Me Mu'akkil Ke Paiso Ko Rakhlega To Ye Bhi Jaaiz He...


Durre Mukhtar Me He,

در المختار: (کتاب الزکوٰۃ، 15/2)

ولوتصدق(الوکیل) بدراھم نفسہ اجزأ ان کان علی نیۃ الرجوع وکانت دراھم المؤکل قائمۃ (درمختار)شامی میں ہے (قولہ ولو تصدق الخ) ای الوکیل بدفع الزوکاۃ اُذا امسک دراھم المؤکل ودفع من مالہ لیر جع ببدلھا فی دراھم المؤکل صح بخلاف ما اذا انفقھا اولاً علی نفسہ مثلاً ثم دفع من مالہ فھو متبر...

*📚(Durre Mukhtar, Kitabuz Zakat, J-2, S-15)*


Or Bahare Shariyat, Fatawa Shami Wagairah Me Aysa Hi He..

Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab

*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*

*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🗓️28 May 2022, 26 Shawwal 1443*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts