*🌹SAWAL:-🌹*
Ulema Ikraam Wa Hazraat E Muhtaram O Rizwan Ki Bargah Me Salaam Tarz E Adab Pesh Hai
ASSALAAMU ALAIKUM WA RAHMATULLAAHI WA BARAKAATUHU
Hazrat Roze Ke Ta'alluq Se Sawal Hai
Agar Roze Se Qabl Yaa Haalat E Sawm Me Agar Miswak Kiya Jaaye To Kuch Ark Us Miswak Ka Muh Saaf Kar Lene K Baad B Jo Reh Jaata Hai Agar Wo Ark Halk Se Neeche Utar Jaaye To Kya Roza Toot Jaata Hai?
Baraaye Karam Jawaab Inaayat Farmaayein
Is Sawaal Me Ek Izaafa Hai Ki Ye Surat Pesh Tab Aayi Thi Jab Seheri Me Miswaak K Baad Muh Me Paani Daal Kar Dhone Se Paani Pee Kar Baith Kar 5 Minutes Ho Gaye The
Saail = MOHAMMAD SHOEB BIN GULZAR ALAM QURAISHI QADRI RAZVI
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Soorate Masa'ula Me Miswak Kar Lene Ke Baad Ya Kisi Bhi Cheez Ke Kha Pi Lene Ke Baad Achhe Se Kulli Kar Li Or Uske Baad Paani Bhi Pi Liya, To Uske Baad Us Cheez Ka Maza Jo Rehta He Vo Asl Me Vo Cheez Nahiñ Balki Uska Asar Rahta He. Or Us Cheez Ka Luaab Me Shamil Ho Jane Ki Wajah Se Ye Asar Paida Hota He, Vo Agar Halq Se Niche Chala Jaaye To Vo Luaab Hi Gaya He.. Jo Sirf Us Khane Ya Miswak Se Asar Andaaz Tha, Lihaza Luaab Ka Halaq Me Utarne Se Roza Me Koi Farq Nahiñ Padega.. Roza Ho Jayega...
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*🎙️Al-Jawab: Hazrat Allama Mufti Juned Raza Azhari Sahab Qibla*
*📬Fazile Jame'a Azhar,Nadiyad *
*🗓️2 May 2022, 30 Ramzanul Mubarak 1443*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment