Fasiq Ki Apni Namaz Hogi Ya Nahi ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Huzr,
Mene Masla Suna Tha Ki Fasiq Ki Namaz Nahi Huti ......
Ab Ek Dhadi Mundane Wala 5 Time Namaz Phade Tu Kya Us Ki Namaz Hugi ???? 
Huzr Tafsil Se Bataye

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Dadhi Munde Ki Namaz Hoti To He Magar Makroohe Tahreemi Hoti He Ki Dubara Ayb Door Karke Padhi Gai Namaz Ko Dohrai Jaaye..

Dadhi Mundana Haram He Or Fe'ale Haram Ka Irtekaab Gunah, Gunah Je Sath Namaz Ada Karna Makroohe Tahreemi Or Jab Namaz Kisi Makroohe Tahreemi Ke Sath Ada Ho To Wajibul Ae'aada Hoti He..

Fuqha Farmate Hai
کل صلاۃ ادیت مع الکراھۃ التحریم تجب اعادتھا ھ
Kyuñ Ki Jab Bahalate Namaz Gunah Ka Irtekab Karta Raha To Namaz Gunah Par Mushatamil Hui Yaani Uski Namaz Ek Haram Amr Par Mushatamil Hui, Or Karahat Ke Liye Ishtimaal (Shumuliyat) Kaafi He Vo Makrooh Dakhil Ho Ya Kharij Jaise Mard Ko Resham Ka Kapda Istemal Karna Gunah He Sona Istemal Karna Mamnoo'a He Agar Koi Shakhs Resham Ka Kapda Ya Sone Ki Angushtari Pahante Huve Namaz Ada Kare Jaise Ye Namaz Makroohe Tahreemi Wajibul Ae'aada Hui Waise Hi Dadhi Munda Shakhs Ki Khud Ki Namaz Makroohe Tahreemi Wajibul Ae'aada Hogi Ki Namaz Us Gunah Par Mushatamil Hui He Jo Gunah Usne Dadhi Munda Kar Kiya He..
*Makhuz 📚(Fatawa Mustafwiya, S-185)*

Dadhi Mundana Haram He To Khud Allah Ta'ala Ke Darbar Me Is Tarah Hazir Hona Kis Darja Gustakhi W Be Adbi Hoga, Jo Baat Ghar Beth Kar Tanhai Me Karna To Qanoonan Sultani Me Jurm Ho Vo Khud Bargahe Sultani Me Uske Huzur Khade Ho Kar Karna Kaisi Sareeh Be Baaki Or Badshah Ka Maujube Narazi Hoga..والعیاذ باللہ

Or Fatawa Bahrul Uloom Me He,
Dadhi Munde Ki Namaz Hoti To He Magar Makroohe Tahreemi Hoti He Ki Dubara Ayb Door Karke Padhi Gai Namaz Ko Dohraai Jaye. 
کل صلاۃ ادیت مع الکراھۃ التحریم تجب اعادتھا ؛
Magar Usne To Dadhi Munda Rakhi He Dubara Sehat Ke Sath Padhega Kaise ? Albatta Mundane Par Taubah W Astagfar Karke Padhe To Or Baat He, To Mukhtasar Ye He Ki Is Tarah Namaz Padhne Ke Baad Bhi Aakhirat Me Muwakhiza Hoga, Agar Sahih Tareeqah Se Dohraai Nahiñ, Haañ Uska Azab Tarike Salaat Se Kam Hoga..
*📚(Fatawa Bahrul Uloom, J-1, S-444)*

Or Fatawa Tajushshariya Me He,
Dadhi Munde Ki Namaz Makroohe Tahreemi He Ki Baade Taubah Ae'aada Chahiye Uski Namaz Ho Jati He Baayeñ Ma'ana Ki Farz Ada Ho Jata He Magar Namaz Me Fisq Ki Wajah Se Nuqsan Hota He, Jiski Wajah De Uska Ae'aada Wajib He.. Kuchh Log Kahte Hai Namaz Bilkul Nahiñ Hoti Isse Taubah Lazim He..
*📚(Fatawa Tajushshariya,  J-3, S-132)*

Lihaza Fasiq Ki Namaz Ho To Jati Magar Makroohe Tahreemi Ki Ayb Door Karke Lautaai Jaye... Iske Bajaye Namaz Chhhod Hi Dena Sakht Gunah W Azab Hoga, Baharhaal Halate Fisq Me Bhi Namaz Chhodna Jaaiz Nahiñ, Namaz To Padhi Hi Jayegi. Or Is Dadhi Mundane Se Jald Taubah Kare.. Or Ye Kahna Ki Bilkul Namaz Hoti Hi Nahiñ Ye Galat He...
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓23 Oct 2022, 26 Rabi Ul Awwal 1444*
📲+91
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts