Gusl Farz Tha Or Kapde Badalne Ke Baad Yaad Aaye Ke Kulli Karna Rah Gaya To Kya Dubara Gusl Karna Hoga ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
السلام علیکم ورحمۃ اللہ
Agar Kisi Par Gusl Farz Hua Ho Or Usne Saara Jism Dho Lia Magar  Kulli Ya Garara Dono Hi Ni Kia Kapdy Badlne K Baad Zaid Ko Yaad Aya K Ek Farz Rehgya H, To Is Surat Me Ghusl Dobara Krni H Ya Srf Wo Farz Ada Krne Se Hojayega?

*🌹JAWAB:-🌹*
Kapde Badalne Ke Baad Bhi Agar Sirf Kulli Karli To Gusl Ada Ho Gaya, Jabki Vo Pahle Digar Faraaize Gusl Ada Kar Chuka Ho.. Dubara Gusl Ki Hajat Nahiñ... Ya Bade Bade Ghunt Paani Ke Pi Liye Ki Munh Ke Tamaam Hissoñ Tak Paani Guzar Gaya Tab Bhi Gusl Ka Farz Ada Ho Gaya Agarche Niyyat Na Ki Ho Ki Wuzu Or Gusl Me Niyyat Farz Nahiñ....

Jaisa Ki Fatawa Amjadiya Me He,
Agar Bakar Junub Tha Yaani Us Par Gusl Farz Tha Or Kulli Karna Bhul Gaya To Taahir (Paak) Na Huva Ki Gusl Ka Ek Farz Uske Zimma Baaqi Rah Gaya. Phir Agar Gusl Ke Baad Wuzu E Jadeed Kiya Jaisa Ki Aksar Log Kar Lete Hai Or Us Wuzu Me Kulli Karli To Paak Ho Gaya, Tamam Namazeñ Ho Gai. Or Agar Kulli Na Ki To Ab Bhi Napaak Hi He Jab Tak Kulli Na Karega Paak Na Hoga Or Jab Kulli Kar Lega Janabat Door Ho Jayegi. Phir Agar Zaid Ne Paanchoñ Namazeñ Bagair Wuzu Kiye Huve Or Bagair Kulli Ke Ada Ki Hai To Koi Namaz Ada Na Hui. Agar Aur Namazeñ Zuhar Se Isha Tak Kulli Ke Baad Padhi Hai Or Yahi Aadatan Zahir He Kyuñ Ki Zuhar Wagairah Ke Waqt To Naya Wuzu Kiya Hoga, Agarche Mumkin He Ki Subah Ka Wuzu Isha Tak Baaqi Rahe, Magar Aadatan Dushwar Zaroor He. Or Ye Bhi Zahir He Ki Wuzu Me Kulli Ki Hogi, Agarche Wuzu Me Kulli Farz Nahiñ, Magar Sunnat To He ..

Baharhaal Agar Kulli Ho Gai Gusl Ho Gaya, Namazeñ Uske Baad Ki Ada Ho Gai Phir Se Jadeed Gusl Ki Haajat Nahiñ, Na Kulli Me Qasdan Izala E Janabat Ki Zaroorat Ki Gusl W Wuzu Me Niyyat Shart Nahiñ, Balki Agar Bade Bade Ghunt Paani Liya Ki Munh Ke Tamam Hissoñ Par Paani Guzar Gaya Jab Bhi Janabat Door Ho Gai..
*📚(Fatawa Amjadiya, J-1, S-10,11)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*
*📬Masjide Hazrat Bilaal, Nadiyad Gujarat*
*🗓️8 Oct 2022, 11 Rabi Ul Awwal 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts