Halate Namaz Ma Zaid Ke Sar Se Topi Gir Jaye To Bakar Ka Uske Sar Pe Utha Ke Rakhna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Asslamualaikum
Hazrat Aksar Dekha Jaata He Masjid Me Namaz Padhte Waqt Kuch Logo Ki Topi Sir Se Gir Jaati Hai
To Kuch Log Topi Utha Kar Uske Sir Par Pehna Dete He To Kya Aisa Karna Sahi He Ya Nahi Rehnumai Farmaye

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Topi Pahan Kar Namaz Padhna Sunnat He, Faraaiz Ya Waajibat Me Se Nahiñ Ki Bagair Topi Ke Namaz Hogi Hi Nahiñ.. Agar Kisi Wajah Se Namaz Me Topi Gir Gai To Amale Qaleel Ke Sath Utha Lena Afzal He Or Agar Na Uthane Me Khuzu'a Maqsood Ho To Na Uthayeñ Namaz Ho Jayegi...

Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He,
Namaz Me Topi Gir Padi To Utha Lena Afzal He Jab Ki Amale Kaseer Ki Haajat Na Pade Warna Namaz Fasid Ho Jayegi Or Baar Baar Uthani Pade To Chhod De Or Na Uthane Se Khuzu'a Maqsood Ho To Na Uthaye...
*📚(Bahare Shariyat, H-3, Makroohat Ka Bayan, Mas'ala-39)*

Or Sarkar Tajushshariya Alaihir Rahmato Ridwan Ek Sawal Ke Jawab Me Farmate Hai,
Vo Khud Agar Halqe Se Ishaare Se Topi Rakh Sakta He To Topi Rakhle Or Agar Amale Kaseer Ki Zaroorat Hoti He To Chhod De (Dusra Aadmi Jo Namaz Me Nahiñ He Vo Uske Sar Par Topi) Rakh Sakta He...
Http://jamiaturraza.com/session/16Jan11/25.mp3

Lihaza Zaid Namaz Padh Raha Tha Or Uski Topi Gir Gai To Dusra Shakhs Jo Namaz Ke Bahar He Agar Uske Sar Par Topi Rakhega To Agar Namazi Ke Khush'a W Khuzu'a Me Khalal Ka Andesha Ho To Na Rakhna Bahetar, Warna Rakh Sakta He.. Koi Sharai Qabaahat Bhi Nahiñ...
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓21 Sep 2022, 23 Safar 1444*
📲+91
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts