Khwab Me Peshab Karna Yaad Ho Or Bedari Me Ehtelam Ke Nishan Ho To Gusl Ka Hukm

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Ek Sawal Tha 

Maine Khawab May Khud Ko Peshab Kartey Hue Dekha Jab Ankh Khuli To Ehtlam Bhi Hua Kya Is Bina Par Gusul Karna Jaruri Hai Ya Nahi Batayeee

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Nind Se Bedaar Hone Par Badan Ya Kapde Par Tari Paai Gayi Our Us Ke Mani Ya Mazi Hone Ka Yaqeen Ya Ehtemal He To, Agarche Khwab Yaad Na Ho Gusl Wajib He...

Our Agar Yaqeen He Ke Ye Na Mani He Na Mazi Balki Pasina Ya Peshab Ya Wadi, Ya Kuchh Our He To Agarche Ehtelam Yaad Ho, Our Lazzate Inzaal Khayal Me Ho Fir Bhi Gusl Wajib Nahi...

Our Is Baat Ka Yaqeen He Ke Ye Mani Nahiñ Magar Uske Mazi Hone Ka Shak He Our Khwab Me Ehtelam Hona Yaad Nahiñ To Gusl Nahiñ, Our Mazi Ka Shak He Magar Khwaab Me Ehtelam Hona  Yaad He To Tab Bhi Gusl Wajib Hoga...

Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He,
Ehtelaam Yaani Sote Se Utha Or Badan Ya Kapde Par Tari Paai Or Us Tari Ke Mani Ya Mazi Hone Ka Yaqeen Ya Ehtemaal Ho To Gusl Wajib He Agarche Khwab Yaad Na Ho Or Agar Yaqeen He Ki Ye Na Mani He Na Mazi Balki Pasina Ya Peshab Ya Wadi Ya Kuchh Or He To Agarche Ehtelaam Yaad Ho Or Lazzate Inzaal Khayal Me Ho Gusl Wajib Nahiñ Or Agar Mani Na Hone Ka Yaqeen Karta He Or Mazi Ka Shak He To Agar Khwab Me Ehtelaam Hona Yaad Nahiñ To Gusl Nahiñ Warna He .

Agar Ehtelaam Yaad He Magar Uska Koi Asar Kapde Wagairah Par Nahiñ Gusl Wajib Nahiñ..
*📚(Bahare Shariyat, H-2, Baab Gusl Kin Cheezoñ Se Farz Hota He, Mas'ala-4,5)*

Soorate Mas'ula Me Agar Kapde Par Paai Jaane Wali Tari Ke Bare Me Mani ya Mazi Ka Yaqeen Ya Ehtemaal Ho To Gusl Waajib He Warna Nahiñ..
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*
*📬Masjide Hazrate Bilal, Nadiyad*
*🗓️19 Sep 2022, 21 Safar 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts