*🌹SAWAL:-🌹*
*Assalamualaikum Hazrat*
Half T Shirt Pe Namaz Padh Sakte Hai...??
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Full Aastin Ke Kapde Hone Ke Bawajood Half Aasteen Ki T-Shirt Ya Shirt Pahan Kar Namaz Padhna Makroohe Tanzihi He... Bahetar He Full Aasteen Ke Kapde Pahan Kar Hi Namaz Padhe..
Jaisa Ki Huzur Sadrushshariyah Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,
Jiske Paas Kapde Hoñ Or Sirf Neem Aasteen (Yaani Aadhi Aasteen) Ya Banyaan Pahan Kar Namaz Parhta He To Karahate Tanzihi He Or Kapde Maujud Nahiñ To Karahat Bhi Nahiñ Muaaf He.
*📚(Fatawa Amjadiya, J-1, S-193)*
Isi Tarah Fatawa Markaze Tarbiyat Ifta Me He Ki,
Half Shirt Ya T-shirt Jis Ki Aasteen Kohni Se Upar Tak Rahti He Pahan Kar Namaz Parhna Makroohe Tanzihi He.
*📚(Fatawa Markaze Tarbiyat Ifta, J-1, S-238)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓7 Sep 2022, 9 Safar 1444*
📲+
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment