*🌹SAWAL:-🌹*
Hazrat Bewah Ki Jo Iddat Hoti H Wo 4 Maah Das Din H To... Wo 4 Mahine Angrezi Tareekh Ke Hisab Se Lenge Ya Chaand Ki
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Gair Hamila Aurat Ka Shohar Inteqal Kar Jaye Agar Islami Mahine Ki Pahli Tarikh Ko Inteqal Hua To Us Bewah Aurat Ki Iddat Chand Ke Hisab Se Chaar (4) Mahina Or Das Din He, Har Mahina 30 Ka Gina Jayega Agarche Mahina 30 Se Kam Hoñ.. Or Agar Inteqal Islami Mahine Ki Pahli Tarikh Ke Alawa Kisi Or Din Ho, To Iddate Wafaat Pure Ek So Tees (130) Din He, Mahinoñ Ka Aitebar Nahiñ Hoga.. Dinoñ Ki Ginti Se Iddat Hogi... 130 Din Pure Islami Tarikh Ke Hisab Se Gine Ya Angrezi Ke Isme Din Gine Jayeñge...
Jaisa Ki Huzur Sadrushshariyah Alaihir Rahma Taherir Farmate Hai,
Maut Pahli Tarikh Ko Ho To Chand Se Mahine Liye Jayeñ Warna Hurrah (Aazad Aurat ) Ke Liye 130 Din Or Baandi Ke Liye 65 Din.
*📚(Bahare Shariyat, H-8, Iddat Ka Bayan, Mas'ala-23)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️11 Sep 2022, 13 Safar 1444*
📲+
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment