Jannat Me Zyada Garib Or Dozakh Me Zyada Aurte Hogi Hadees Ki Tashreeh

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Is Hadis Ki Tasrih Mil Sakti Hai Kya,

Huzur  ﷺ Irshad Farmate Hai Ki Jannat Me Jane Wale Zyadatar Garib Log Honge Or Jahannam Me Zyadatar Aurteñ Hongi. (Muslim, Hadees-6833)

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Nabi  ﷺ Is Me Bayan Farma Rahe Hai Ki Aap  ﷺ Ne Jannat Me Jhaank Kar Dekha To Usme Zyadatar Gareeb Log The Kyuñki Gareeboñ Ke Paas Aysi Koi Shay Hoti Hi Nahiñ Jo Unheñ Sarkashi Banaye. Ye Log Pabande Deen Or Matee'a W Farmaañ Bardaar Hote Hai. Isi Liye Jo Shakhs Aayat Me Gauro Fikr Karta He Uspar Ye Aashkaara Hota He Ki Sahibe Haisiyat Or Ameer Log Hi Rasooloñ Ko Jhutlaate Hai Jab Ki Kamzor W Natawañ Log Rasooloñ Ki Pairvi Karte Hai Is Liye Jannat Me Zyada To Yahi Log Hoñge.. 

Hadees Se Ye Sabit Nahiñ Hota Ki Har Gareeb Ko Har Ameer Par Fazilat Hasil He Balki Iska Mafhoom Ye He Ki Jannat Me Gareeb Log Ameer Logoñ Se Zyada Hai Or Isi Baat Ki Aap ﷺ Ne Khabar Di He. Unki Gurbat Unke Jannat Me Jane Ka Sabab Nahiñ Agarche Uski Wajah Se Unke Hisab Me Kuchh Takhfeef Zaroor Hogi. Iske Bajaye Vo Apni Rastagi Ki Wajah Jannat Me Jañyege. Gareeb Aadmi Agar Rasta Roo Na Ho To Use Koi Fazilat Hasil Nahiñ Hoti. 

Isi Tarah Nabi ﷺ Ne Bataya Ki Aap  ﷺ Ne Jahannum Me Jhaank Kar Dekha To Usme Zyadatar Aurteñ Nazar Aayiñ. Kyuñ Ki Aurtoñ Me Aysi Buri Aadat Hoti Hai Jin Ka Rang Unki Tabiyatoñ Par Haawi Ho Jata He Or Vo Ume Rach Bas Jaati Hai. Shohar Ki Nashukri Or Kasrat Ke Sath La'ano Tan Karna Unhiñ Buri Aadat Me Se He. Is Liye Un Par Zaroori He Ki Apne Deen Ki Hifazat Kareñ Taaki Jahannum Se Mahfooz Raheñ.
*✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mukhtar Ahemad Ziyai Faizi Sahab Qibla*
*📬Darso Tadris Darul Uloom Mustafwiya, Haldarva, Gujarat*
*🗓️4 Oct 2022, 7 Rabi Ul Awwal 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts