Munfarid Ka Sirri Namaz Me Baland Aawaz Se Qirat Karna

 *🌹SAWAL:-🌹*
Asslamualikum, 
Agar Bina Jhar Wali Namaz(zohar,asr)mein Tanha Namaz Padhne Wala Awaaz Ke Sath Qirat Krrta Hai Toh Kya Namaz Hojayegi?

*🌹JAWAB:-🌹*
Munfarid Yaani Tanha Namaz Padhne Wale Ko Ikhtiyar He Ki Jahri Namaz Maslan Fajar, Magrib Or Isha Ki Pahli Do Rak'atoñ Me Baland Aawaz Se Qiraat Kare Ya Aahista...
Jaisa Ki Noorul Izaah Me He,
والمنفرد مخیرفیمایجھرکمتنفل باللیل 
*📚(Noorul Izaah, Fasl Fee Wajibus Salat, Safha-71,72)*

Or Sirri Namaz Jese Zuhar Or Asar Me Aahista Qiraat Karna Wajib He, Baland Aawaz Se Padhega To Sajda E Sahw Wajib Ho Jayega..

Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He,
Munfarid Ne Sirri Namaz Me Jahar Se Padha To Sajda Wajib He Or Jahri Me Aahista To Nahiñ.
*📚(Bahare Shariyat, J-1, H-4, S-714, Sajda E Sahw Ka Bayan, Mas'ala-41)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️22 Oct 2022, 25 Rabi Ul Awwal 1444*
📲+918
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts