Shikari Aur Paltu Kutte Ki Kharido Farokht Ka Hukm

 *🌹SAWAL:-🌹*
Har Tareeqe K Kutto Ka Business Jaiz Ya Kutte Mei Sharte Hain..
Maine Ek Sahab Se Suna Hai K Jo Kutte Guarding K Liye Paale Jaate Hain Wo Jayaz Hain Or Baaqi Chhoti Nasal K Kutto Ka Business Mana Hai?

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Kutte Ke Muta'alliq Shariat Ka Ye Hukm He Ki Jis Kutte Ko Paalna Jaaiz Ho Uski Kharido Farokht Bhi Jaaiz He Yaani Jo Kutta Qaabile Ta'aleem Hoñ Uski Bee'a Jaaiz Or Jis Ko Paalna Jaaiz Nahiñ Yaani Jo Zyada Kaatna Wala Ya Pagal Ya Qaabile Ta'aleem Na Hoñ Uski Kharido Farokht Bhi Jaaiz Nahiñ.. Or Kutte Ko Paalne Ki Ijaazat Shikaar (Jo Ke Shikaare Tafreeh Na Ho) Ke Liye He Ya Ghar Or Kheti Ki Hifazat Ke Liye He (Jab Ki Sachchi Haajat Ho), Lihaza Jo Kutta Mazkoora Umoor Ke Liye Istemaal Kiya Ja Sakta Ho Uski Kharido Farokht Jaaiz He Warna Nahiñ.

Jaisa Ki Durre Mukhtar Me He,
لكن في الخانية: بيع الكلب المعلم عندنا جائز ، وكذا السنور ، وسباع الوحش والطير جائز معلماً أو غير معلم " اھ 
*📚( در مختار مع رد المحتار ج 7 ص 260 :کتاب البیوع ،باب بیع الفاسد ، دار الکتب العلمیہ بیروت )*

Or Fatawa Aalamgiri Me He,
" وبيع الكلب غير المعلم يجوز إذا كان قابلاً للتعليم وإلا فلا ، وهو الصحيح، كذا في جواهر الأخلاطي " اھ 
*📚( فتاوی عالمگیری ج 3 ص 122 : کتاب البیوع ، باب فیما یجوز بیعه وما لایجوز ، دار الکتب العلمیہ بیروت )* 

Isi Tarah Bahare Shariyat Me He,
Kutta, Billi, Hathi, Cheeta, Baaz, Shikrah (Yaani Baaz Ki Qism Ka Ek Shikari Parinda) Bahri (Ek Shikari Parinda) In Sab Ki Bee'a Jaaiz He. Shikaari Janwar Muallam (Sikhaye Huve) Hoñ Ya Gair Muallam Donoñ Ki Bee'a Sahih He, Magar Ye Zaroor He Ki Qaabile Ta'aleem Hoñ, Katkhana (Yaani Bahut Zyada Kaatne Wala, Paagal) Kutta Jo Qaabile Ta'aleem Nahiñ He Uski Bee'a Durust Nahiñ.
*📚(Bahare Shariyat, H-11, Bee'a Ke Mutafarriq Masaail, Mas'ala-2)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓18 Sep 2022, 20 Safar 1444*
📲+91
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts