*🌹SAWAL:-🌹*
Zohar Aur Asr Mein Itni Awaaz Se Qirat Krrna Zaruri Hai Ke Khud Ke Kaan Sun Le ? Kitni Awaz tak gunjaish hai
*🌹JAWAB:-🌹*
Aahista Qiraat Me Itni Aawaz Honi Chahiye Ki Agar Bahra Na Ho Or Na Hi Sunne Ka Koi Marz Or Shoro Gul Na Ho To Khud Sun Sake.. Agar Itni Aawaz Bhi Na Ho To Namaz Na Hogi..
Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He,
Aahista Padhne Me Bhi Itna Zaroor He Ki Khud Sune, Agar Huroof Ki Tas'heeh To Ki Magar Is Qadar Aahista Ki Khud Na Suna Or Koi Maane'a Maslan Shoro Gul Ya Sakle Sama'at (Yaani Uncha Sunne Ka Marz) Bhi Nahiñ, To Namaz Na Hui..
*📚(Bahare Shariyat, Jild-1, Hissa-3, Safha-511, Faraaize Namaz, Qiraat Ka Bayan)*
Kuchh Log Qura'an Shareef Ki Tilawat Namaz Ke Bahar Ya Namaz Me Kuchh Padhte He To Sirf Hont Hilate Hai Or Aawaz Bilkul Nahiñ Nikalte Unka Ye Padhna Padhna Hi Nahiñ.. Is Tarah Padhne Se Namaz Hi Nahiñ Hogi.. Or Qura'an Ki Tilawat Karne Se Is Tarah Sawab Bhi Na Payeñge..
Aahista Padhne Ka Matlab Ye He Ki Kam Az Kam Itni Aawaz Zaroor Nikle Ki Koi Rukawat Na Ho To Khud Sunle..
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️23 Oct 2022, 26 Rabi Ul Awwal 1444*
📲+91
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment