*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Hazrat
Agar Farz Namaz Ke Dono Rakat Me Surah Fatiha Ke Baad Ek Hi Surah Pad Liya Ho Aur Salam Ferne Ke Baad Yaad Aye To Kya Namaz Ho Jayegi Ya Dohrani Padegi
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Namaz Ho Jayegi, Dohrane Ki Hajat Nahiñ... Donoñ Rak'atoñ Me Ek Bi Surat Padhna Jabki Koi Majboori Na Ho Makroohe Tanzihi He.. Or Makroohe Tanzihi Se Namaz Ho Jayegi, Dohrane Ki Hajat Nahiñ Isme...
Bahare Shariyat Me He,
Donoñ Rak'atoñ Me Ek Hi Surat Ki Takraar Makroohe Tanzihi He, Jab Ki Koi Majboori Na Ho Or Majboori Ho To Bilkul Karahat Nahiñ.. Maslan Pahli Raka'at Me Puri قل اعوذ برب الناس Padhi, To Ab Dusri Me Bhi Yahi Padhe Ya Dusri Me Bilaqasd Wahi Pahli Surat Shuru'a Kar Di Ya Dusri Surat Yaad Nahiñ Aati, To Wahi Pahli Padhe..
*📚(Bahare Shariyat, Hissa-3, Qura'an Majeed Padhne Ka Bayan, Mas'ala-32)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓23 Oct 2022, 26 Rabi Ul Awwal 1444*
📲+
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment