Badmazhab Ko Saman Farokht Karna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Meri Kirana Ki Dukan, Jisme Sab Grahak Aate Gai, Mujhe Pata Nahiñ He Ki Lene Wala Konsi Jamat Se Ta'alluq Rakhta He To Kya Tablighi Jamat Ya Ahle Hadees Grahak Mujhse Maal Kharid Karta He... Fir Mujhe Pata Chalta He Ki Ye Shakhs Badmazhab Ka He To Kya Us Jamat Wale Se Mujhe Dandha Karna Chahiye.. ??

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Jis Badmazhab Ki Badmazhabi Hadde Kufr Ko Pahunch Chuki Ho To Vo Murtad He, Or Murtad Se Muaamlaat Jaaiz Nahiñ Or Kharido Farokht Karna Ye Muaamlaat Kahlata He... 

Sarkar Tajushshariya Alaihir Rahma Farmate Hai,
Wahabi Se Muaamlaat Najaaiz W Haram He..

Isi Tarah Fatawa Razviya Me He,
Ye Aqsaam Muaamlaat Me In Sabse Kharij Muaamla He Ki Har Kafir Se Har Waqt Jaaiz Magar Murtadeen Se (Najaaiz He)..
*📚(Fatawa Razviya, J-14, S-598)*

Or Fatawa Bahrul Uloom Me He,
Kuffar Ki 2 Qismeñ Hai. Murtad Or Gair Murtad. Aakhir Tak Jitne Naam Aapne Likhe Hai (wahabi, Deobandi, Ahle Hadees, Jamati, Shia, Rafzi Wagairah) Aam Taur Par Murtad Hai Unse Kisi Qism Ka Muaamla Shar'an Mana'a He.
*📚(Fatawa Bahrul Uloom, J-4, S-210)*

Sahibe Imaan Ko Chahiye Ki Apni Dunya Par Apne Deen W Mazhab Ko Fauqiyat W Bartari De Or Rizq Ki Fikr Na Kare..

Qura'an Me Irshad Huva,
وَاللَّـهُ خَيْرُ الرَّازِقِينَ
Or Allah Ka Rizq Sabse Achcha.
*📚(Surah Jumuah, Aayat-11)*

Or Jab Dukan Par Har Tarah Ke Grahak Aate Hai To Basa Awqaat Unse Narmi Or Adab Ke Sath Guftagu Karna Padti He Jisme Tazeem Ka Pahlu Bhi He Or Hadees Me Aaya,
اذا رأیتم صاحب بدعۃ فاکفھروا فی وجھه فان الله یبغض کل مبتدع 
Jab Tum Kisi Badmazhab Ko Dekho To Uske Samne Tarsarooi Se Pesh Aao Is Liye Ki Allah Ta'ala Har Badmazhab Ko Dushman Rakhta He.

Or Dusri Jagah Irshad Hua,
من وقر صاحب بدعۃ فقد اعان علی ھدم الاسلام ۔۔
Jis E Badmazhab Ki Izzat Ki Usne Islam Ko Dhaane Par Madad Ki..
*📚(Mishkat Shareef)*

Lihaza Badmazhab Apne Aqqaide Kufriya Ki Bina Par Kafiro Murtad He Or UnSe Kharido Farokht Karna Jaaiz Nahiñ, Or Soorate Mas'ula Me Jab Aapka Uske Sath Saman Farokht Karne Ke Baad Maloom Padta He Ki Ye Badmazhab Tha To Ye Is Hukm Me Na Aayega... Magar Ye Jaan Kar Ki Ye Badmazhab He Or Fir Uske Sath Kharido Farokht Karna Najaizo Haram Hoga...
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Al-Jawab: Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab,*
*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*
*🗓️29 Oct 2022, 3 Rabi Us Saani 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts