Jis Saf Me Badmazhab Khada Ho Jaye Un Saf Waloñ Ki Namaz Ka Hukm

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum  
Sunni Masjid Me Namaz Ke Waqt Koi Wahabi Saf Me Khada Ho Kar Namaz Pathe To Us Saf Ki Kisi Bhi Shakhs Ki Namaz Hogi Ya Nahi

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Wahabi Deobandi Shiya Rafzi Wagairah Badmazhab Apne Aqaaide Kufriya Ki Bina Par Kafiro Murtad He.... Or Kafir Ki Namaz Batil To Sunniyoñ Ki Saf Me Vo Jis Jagah Khada Hoga Vo Jagah Shar'an Khaali Hogi To Qat'a Saf Hoga Or Qat'a Saf Haram He.. Lihaza Wahabi Deobandi Wagairah Badmazhab Agar Sunniyoñ Ki Saf Me Shamil Ho Jaye Or Qudrat Rakhne Ke Bawajood Na Roke Ya Unki Shikart Par Raazi Ho Vo Sakht Gunahgar Azabe Haq Ke Haqdaar Hoge.. Or Unki Shirkat Se Qat'a Saf Hogi Jis Se Namaz Makroohe Tahreemi Hui... Or Jo Log Majboor Hoñ Ki Unko Mana'a Karne Se Bahut Bada Fitna Fel Sakta He To Vo Mazoor He, Namaz Ho Jayegi..

Jaisa Ki Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,
Gair Muqallideene Zamana Bahukme Fuqha W Tasreehaate Aamma Kutube Fiqh Kafir The Hi, Jiska Roshan Bayan Risala رسالہ الکوکبۃ الشھابیۃ ورسالہ السیوف ورسالہ النھی الاکید Wagairah Me He Or Tajarba Ne Sabit Kar Diya Ki Vo Zaroor Munkirane Zarooriyate Deen Hai Or Unke Munkiroñ Ke Haami W Hamrah, To Yaqeenan Qat'an Ijma'an Unke Kufr W Irtedaad Me Shak Nahiñ, Or Kafir Ki Namaz Baatil, To Vo Jis Saf Me Khade Hoñge Utni Jagah Khali Hogi Or Saf Qata'a Hogi Or Qata'a Saf Haram He.

RasoolAllah ﷺ Farmate Hai,
من وصل صفا وصلہ اﷲ ومن قطع صفا قطعہ اﷲ۔
Jo Saf Ko Milaye Allah Apni Rahmat Se Use Milaye Or Jo Saf Qata'a Kare Allah Apni Rahmat Se Use Juda Kare.
*📚(سنن ابوداؤد باب تسویۃ الصفوف مطبوعہ آفتاب عالم پریس لاہور ۱ /۹۷)*

To Jitne Ahle Sunnat Unki Shirkat Par Raazi Hoñge Ya Ba Wasfe Qudrat Mana'a Na Kareñge Sab Gunahgar W Mustahiqe Waeedo Azaab Hoñge Or Namaz Me Bhi Nuqs Aayega Ki Qata'a Saf Makroohe Tahreemi He..

Or Agar Sirf Ek Hi Saf Ho Or Uske Kinara Par Gair Muqallid Khada Ho To Is Soorat Me Agarche Filhaal Qata'a Saf Nahiñ Magar Iska Ehtemaal W Andesha He Ki Mumkin He Koi Musalman Baad Ko Aahlye Or Us Gair Muqallid Ke Barabar Ya Dusri Saf Me Khada Ho To Qata'a Ho Jayega Or Jis Tarah Fe'ale Haram Haram He Yuñhi Vo Kaam Karna Jis Se Fe'ale Haram Ka Saman Muhayya Or Uska Andesha Hasil Ho Vo Bhi Mamnoo'a He..

Ibne Habban Ki Hadees Me He Ki Nabi  ﷺ Ne Farmaya,
:لاتصلوا علیھم ولاتصلوا معھم۔
Na Unke Janaza Ki Namaz Padho Ne Unke Sath Namaz Padho. Badmazhanoñ Ke Sath Namaz Na Padho.
*📚(کنزالعمال الفصل الاول فی فضائل الصحابہ اجمالا مطبوعہ موسسۃ الرسالۃ بیروت ۱۱ /۵۴۰)*
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-7, Mas'ala-880)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓28 Oct 2022, 1 Rabi Us Saani 1444*
📲+9
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts