Imame Aazam Abu Hanifa Ki Beti Ka Naam Kya Tha ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Huzur

Ek Sawal Hain.......

Imam Azam Abu Hanifa Ki Beti Ka Naam Kia Hain?

*🌹JAWAB:-🌹*
Imame Aazame Abu Hanifa Hazrat Noman Bin Sabit Radiallahu Anhu Ki Koi Sahabzadi Nahiñ Thi, Unke Sirf Ek Sahabzade The Jiska Naam Hammad Tha, Unke Alawa Koi Awlad Na Thi...

Jaisa Ki Ibne Hajar Haytami Rahematullah Alaihi Farmate Hai,
ان کنیة ابوحنیفہ مونث حنیف وھوالناسک اوالمسلم لان الحنیف المیل.والمسلم مائل الی الدین المحق قیل سبب تکنیة بذالک ملازمتہ للدواة حنفیة بلغة العراق وقيل كانت له بنت تسمي بذالك ورد بانه لايعلم له ولد ذكز ولا انثي غير حماد ۔ 
*📚(Khairatul Hassan, S-45, Chishti)*
Baaz Logoñ Ne Jo Ye Wajhe Tasmiya Bayan Ki He Ki Imame Aazam Ki Ek Sahabzadi Thi Jiska Naam "Haneefa" Tha Or Unhiñ Ki Taraf Nisbat Karte Huve Aapko Abu Haneefa Kahte Hai To Ye Galat He, Sahih Yahi He Ki Aapke Sirf Ek Sahabzade The Jin Ka Naam Hammad Tha, Unke Siwa Koi Awlad Na Thi..
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️15 Nov 2022, 19 Rabi Us Saani 1444*
📲+91
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts