Masjid Ke Borewell Se Badmazhab Ko Water Filter Plant Chalane Dena Or Badle Me Free Me Masjid Me Paani Lena Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Ahle Sunnat Wa Jama'at Ki Masjid Ki Shops Hai Jo Rent Par Diye Hue Hai Usme Ek Deobandi Water Filter Plant Chala Rahe Hai Aur Pani Masjid Ke Borwell Se Istemal Karte Aur Masjid Me Filter Water Ke Cooler Free Me Dete To Woh Pani Peena Kaisa ? Or Agar Borewell Masjid Ka Na Ho To Kya Hukm He ?

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Jab Masjid Ham Ahle Sunnat Ki He To Us Ki Dukan Kisi Badmazhab Ko Rent Par Bhi Na De Balki Sunni Ko Hi De In Logoñ Ko Dene Me Ye Khatra Bahut Zyada Rehta He Ki Jab Dukan Qarib He To Namaz Me Bhi Shamil Honge Aur Jab Masjid Aayenge To Qat E Saf Bhi Hogi, Fir Ye Ki Wo Log Wanha Sunni Awam Ko Behkayenge, Ho Sakta He Dhire Dhire Jama'at Bhi Aana Shuru Ho Jaye Is Tarah Ek Sunni Masjid Kab Jamatiyo K Qabze Me Chali Jaayegi Pata Bhi Nahi Chalega.. Lihaza Un Se Doori Hi Bana Ke Rakhkhi Jaye...

Aur Unko Sunni Masjid Ki Dukane Kiraye Par Bhi Na Di Jaaye Ke Is Me Fayda Bahut Kam Aur Nuqsan Azeem He. Ke Aakhir Kaar Is Tarah Wo Log Dhire Dhire Masjid Par Bhi Qabza Kar Lete He..

Jo Sawal Puchha Gaya He Us Me Awwalan Masjid Ke Borwell Se Pani Kisi Ko Bhi Dena Jaaiz Nahi Kiraye Par Bhi Nahi De Sakte, Na Cometty Waloñ Ki Ijazat Se, Ye Hukm Sab K Liye He, Yaani Sunni Ko Bhi Nahi De Sakte Chhe Jaayeke Jamati Ko !! 

Ayse Hi Ek Sawal K Jawab Me Fatawa Faqeehe Millat Me He,
Masjid Ka Pankha Jabki Awqaate Namaz Me Istemal Karne Ke Liye He To Use Kiraya Par Dena Jaaiz Nahiñ To Sirf Bijli Ka Kharch Apni Jeb Se Ada Karke Use Istemal Karna Badarja Awla Jaaiz Nahiñ.. 

*📚Fatawa Razviya Jild-6, S-455* Par He,
Jo Masjid Par Uski Istemal Me Aane Ke Liye Waqaf Hai Unheñ Kiraya Par Dena Haram He, Lena Haram Ki Jo Cheez Jis Garz Ke Liye Waqaf Ki Gai Dusri Garz Ki Taraf Use Pherna Jaaiz Nahiñ.
*📚(Fatawa Faqeehe Millat, J-1, S-191)*

Or Ek Jagah Farmaya,
Intezamiya Commety Or Mutawalli Ke Liye Muhalle Waloñ Ko Masjid Ke Nal Se Paani Bharne Ki Ijazat Dene Ka Ikhtiyar Nahiñ.. Lihaza Unki Ijazat Se Bhi Muhalla Waaloñ Ko Masjid Ke Nal Se Paani Bharna Jaaiz Nahiñ..
*📚(Fatawa Faqeehe Millat, J-1, 188)*

Lihaza Kisi Ko Masjid Ka Borewell Kiraya Par Nahi De Sakte Na Ijazat Se Na Bagair Ijazat Ke... Wajah Ye He Ke Jis Ne Masjid Me Borwell Karwaya Yaani Waaqif Uska Maqsad Ye Nahi Ke Us Ko Bech Kar Ya Kiraye Par Dekar Raqam Hasil Ki Jaye.. Balki Wo Sirf Us Masjid Ke Musalliyan Ke Liye He...

Lihaza Us Deobandi Ko Us Borewell Ka Paani Dena Jaaiz Nahi Agar Che Wo Uska Paisa De, Fir Ye Ke Do Chaar Jag Pani Dekar Masjid Aur Masjid Waaloñ Par Ehsaan Kiya Ja Raha He... لا حول ولا قوة
  Is Trh Wo Logo Ki Nazroñ Me Achchha Ban Raha He Aur Isi Tarah Sunniyoñ Me Apne Batil Aqaaid Ki Tablig Ki Raah Aasan Kar Raha He. Lihaza Uske Jag Na Liye Jae.. Ke Ye Log Boti Dekar Bakra Wasul Karne M Bade Mahir He... 

Or Agar Borwell Masjid ka Na Ho Tab Bhi Bahetar Yahi He Ki Jamaati Ke Diye Paani Ke Jag Sunni Masjid Me Na Rakhe Jaye Ki Is Tarah Vo Logoñ Ki KhushNudi Hasil Karte Hai Or  Apne Batil Aqaaid Ki Tablig o Ishaa'at... Wallahu Ta'ala Aa'alam
*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*
*📬Masjide Hazrat Bilaal, Nadiyad Gujarat*
*🗓️23 Nov 2022, 28 Rabi Us Saani 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts